Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye baat samajh mein aai nahin

Ahmad Hatib Siddiqi

ye baat samajh mein aai nahin

Ahmad Hatib Siddiqi

MORE BYAhmad Hatib Siddiqi

    ye baat samajh meñ aa.ī nahīñ

    ye baat samajh meñ aa.ī nahīñ

    ammī ne mujhe samjhā.ī nahīñ

    maiñ kaise mīThī baat karūñ

    jab mīThī chijjī khaa.ī nahīñ

    aapī bhī pakātī haiñ halva

    phir vo bhī kyoñ halvā.ī nahīñ

    ye baat samajh meñ aa.ī nahīñ

    naanī ke miyāñ to naanā haiñ

    daadī ke miyāñ bhī daadā haiñ

    jab aapā se maiñ ne pūchhā

    baajī ke miyāñ kyā baajā haiñ

    vo hañs hañs kar ye kahne lagīñ

    ai bhaa.ī nahīñ ai bhaa.ī nahīñ

    ye baat samajh meñ aa.ī nahīñ

    jab nayā mahīna aatā hai

    bijlī bill aa jaatā hai

    hālāñki bādal bechāra

    ye bijlī muft luTātā hai

    phir ham ne apne ghar bijlī

    kyoñ bādal se lagvā.ī nahīñ

    ye baat samajh meñ aa.ī nahīñ

    gar billī sher ḳhāla hai

    phir ham ne use kyoñ paalā hai

    kyā sher bahut nālā.eq hai

    ḳhāla ko maar nikālā hai

    jangal ke raajā ke yahāñ

    kyā miltī duudh malā.ī nahīñ

    ye baat samajh meñ aa.ī nahīñ

    kyoñ lambe baal haiñ bhālū ke

    kyoñ us TinD karā.ī nahīñ

    kyā vo bhī ganda bachcha hai

    us ke abbū bhaa.ī nahīñ

    ye us hair style hai

    jangal meñ koī naa.ī nahīñ

    ye baat samajh meñ aa.ī nahīñ

    jo taare jhilmil karte haiñ

    kyā un chāchī taa.ī nahīñ

    hogā koī rishta sūraj se

    ye baat hameñ batlā.ī nahīñ

    par chandā kaisā māmūñ hai

    jab ammī vo bhaa.ī nahīñ

    ye baat samajh meñ aa.ī nahīñ

    ye baat samajh mein aai nahin

    ye baat samajh mein aai nahin

    ammi ne mujhe samjhai nahin

    main kaise miThi baat karun

    jab miThi chijji khai nahin

    aapi bhi pakati hain halwa

    phir wo bhi kyon halwai nahin

    ye baat samajh mein aai nahin

    nani ke miyan to nana hain

    dadi ke miyan bhi dada hain

    jab aapa se main ne puchha

    baji ke miyan kya baja hain

    wo hans hans kar ye kahne lagin

    ai bhai nahin ai bhai nahin

    ye baat samajh mein aai nahin

    jab naya mahina aata hai

    bijli ka bill aa jata hai

    haalanki baadal bechaara

    ye bijli muft luTata hai

    phir hum ne apne ghar bijli

    kyon baadal se lagwai nahin

    ye baat samajh mein aai nahin

    gar billi sher ki KHala hai

    phir hum ne use kyon pala hai

    kya sher bahut nalaeq hai

    KHala ko mar nikala hai

    ya jangal ke raja ke yahan

    kya milti dudh malai nahin

    ye baat samajh mein aai nahin

    kyon lambe baal hain bhaalu ke

    kyon us ki TinD karai nahin

    kya wo bhi ganda bachcha hai

    ya us ke abbu bhai nahin

    ye us ka hair style hai

    ya jangal mein koi nai nahin

    ye baat samajh mein aai nahin

    jo tare jhilmil karte hain

    kya un ki chachi tai nahin

    hoga koi rishta suraj se

    ye baat hamein batlai nahin

    par chanda kaisa mamun hai

    jab ammi ka wo bhai nahin

    ye baat samajh mein aai nahin

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now