Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye girta hua shahr mera nahin

Kumar Pashi

ye girta hua shahr mera nahin

Kumar Pashi

MORE BYKumar Pashi

    ye aag aur ḳhuuñ ke samundar meñ girtā huā shahr merā nahīñ

    havā se ulajhtā huā maiñ chalā rahā huuñ añdherā hai gahrā ghanā be-amāñ

    raat ke dasht meñ tere mere makāñ

    duur hote chale rahe haiñ

    lahū ke ujāle bhī ma.adūm haiñ

    aur tārīk gumbad meñ ma.asūm rūhoñ ke kohrām meñ

    be-sadā āsmāñ taraf

    ḳhuuñ meñ luThḌe hue haath uThte haiñ tahlīl ho jaate haiñ

    aur kahīñ duur apnī fasīloñ ke andar bikhartī huī

    nā-murādoñ bastī ke uupar

    havā se ulajhtā huā maiñ uḌā rahā huuñ añdherā hai gahrā ghanā be-amāñ

    maiñ bulātā huuñ āvāz detā huuñ ab us hasīñ shahr ko

    jo purānī zamīnoñ ke nīche kahīñ dafn hai

    koī āvāz kānoñ meñ aatī nahīñ hai

    maiñ shāyad purānī zamīnoñ ke nīche bahut duur nīche kahīñ dafn huuñ

    ḳhuuñ meñ luThḌe hue haath

    tārīk gumbad

    ye andhī havā

    phaḌphaḌātā huā ek zaḳhmī parinda

    kahīñ duur apnī fasīloñ ke andar bikhartī huī

    nā-murādoñ bastī ke uupar

    maiñ jalte paroñ se uḌā rahā huuñ

    ye aag aur ḳhuuñ ke samundar meñ girtā huā shahr merā nahīñ hai

    ye aag aur KHun ke samundar mein girta hua shahr mera nahin

    hawa se ulajhta hua main chala ja raha hun andhera hai gahra ghana be-aman

    raat ke dasht mein tere mere makan

    dur hote chale ja rahe hain

    lahu ke ujale bhi madum hain

    aur tarik gumbad mein masum ruhon ke kohram mein

    be-sada aasman ki taraf

    KHun mein luThDe hue hath uThte hain tahlil ho jate hain

    aur kahin dur apni fasilon ke andar bikharti hui

    na-muradon ki basti ke upar

    hawa se ulajhta hua main uDa ja raha hun andhera hai gahra ghana be-aman

    main bulata hun aawaz deta hun ab us hasin shahr ko

    jo purani zaminon ke niche kahin dafn hai

    koi aawaz kanon mein aati nahin hai

    main shayad purani zaminon ke niche bahut dur niche kahin dafn hun

    KHun mein luThDe hue hath

    tarik gumbad

    ye andhi hawa

    phaDphaData hua ek zaKHmi parinda

    kahin dur apni fasilon ke andar bikharti hui

    na-muradon ki basti ke upar

    main jalte paron se uDa ja raha hun

    ye aag aur KHun ke samundar mein girta hua shahr mera nahin hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ye girta hua shahr mera nahin Nomaan Shauque

    Source:

    azadi ke bad urdu nazm (Pg. 561)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now