Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye jo apni gol zamin hai

Ahmad Hatib Siddiqi

ye jo apni gol zamin hai

Ahmad Hatib Siddiqi

MORE BYAhmad Hatib Siddiqi

    nannhī se ye bolīñ naanī

    merī pyārī guḌiyā raanī

    ne ye kyā khel dikhāyā

    khol diyā kyoñ nal paanī

    aa merī god meñ aa

    sun le mujh se ek kahānī

    ye jo apnī gol zamīñ hai

    pahle-pahal thī paanī paanī

    sab duniyā thī ek samundar

    jis lahreñ thiiñ tūfānī

    rafta rafta ubhrī ḳhushkī

    haule haule utrā paanī

    peḌ pahāḌ chaTTāneñ sahrā

    jañgal jañgal haivānī

    saarī chīzeñ ho ga.iiñ paidā

    tab aa.ī vo sub.h suhānī

    jab allāh ne hukm se apne

    dikhlāne ko apnī nishānī

    duniyā meñ insān ko bhejā

    ḳhuub baḌhī nasl-e-insānī

    tum ko sun kar hairat hogī

    merī pyārī guḌiyā raanī

    hisse chaar zamīñ ke hoñ to

    ek hai ḳhushkī tiin hai paanī

    lekin isti.māl ke qābil

    ziyāda paanī nahīñ hai jaanī

    thoḌā thoḌā ḳharch kareñ ham

    nal ToñTī nahīñ bahānī

    nannhi se ye bolin nani

    meri pyari guDiya rani

    tu ne ye kya khel dikhaya

    khol diya kyon nal ka pani

    aa ja meri god mein aa ja

    sun le mujh se ek kahani

    ye jo apni gol zamin hai

    pahle-pahal thi pani pani

    sab duniya thi ek samundar

    jis ki lahren thin tufani

    rafta rafta ubhri KHushki

    haule haule utra pani

    peD pahaD chaTTanen sahra

    jangal ka jangal haiwani

    sari chizen ho gain paida

    tab aai wo subh suhani

    jab allah ne hukm se apne

    dikhlane ko apni nishani

    duniya mein insan ko bheja

    KHub baDhi nasl-e-insani

    tum ko sun kar hairat hogi

    meri pyari guDiya rani

    hisse chaar zamin ke hon to

    ek hai KHushki tin hai pani

    lekin istimal ke qabil

    ziyaada pani nahin hai jaani

    thoDa thoDa KHarch karen hum

    nal ki TonTi nahin bahani

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now