Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kaun aaya

Ibn e Insha

ye kaun aaya

Ibn e Insha

MORE BYIbn e Insha

    'inshā'-jī ye kaun aayā kis des baasī hai

    hoñToñ pe tabassum hai āñkhoñ meñ udāsī hai

    ḳhvāboñ ke gulistāñ ḳhush-bū-e-dil-ārā hai

    sub.h-e-tamannā ke māthe sitārā hai

    tarsī huī nazroñ ko ab aur na tarsā re

    ai husn ke saudāgar ai ruup ke banjāre

    ramnā dil-e-'inshā' ab terā Thikānā ho

    ab koī bhī sūrat ho ab koī bahānā ho

    ḳhākistar-e-dil ko hai phir shola-ba-jāñ honā

    hairat jahāñ honā hasrat nishāñ honā

    ai shaḳhs jo aakar yuuñ dil meñ samāyā hai

    dard ki darmāñ hai to dhuup ki saayā hai?

    naināñ tire jaadū haiñ gesū tire ḳhushbū haiñ

    bāteñ kisī jañgal meñ bhaTkā huā aahū haiñ

    maqsūd-e-vafā sun le kyā saaf hai saada hai

    jiine tamannā hai marne irāda hai

    'insha'-ji ye kaun aaya kis des ka basi hai

    honTon pe tabassum hai aankhon mein udasi hai

    KHwabon ke gulistan ki KHush-bu-e-dil-ara hai

    ya subh-e-tamanna ke mathe ka sitara hai

    tarsi hui nazron ko ab aur na tarsa re

    ai husn ke saudagar ai rup ke banjare

    ramna dil-e-'insha' ka ab tera Thikana ho

    ab koi bhi surat ho ab koi bahana ho

    KHakistar-e-dil ko hai phir shola-ba-jaan hona

    hairat ka jahan hona hasrat ka nishan hona

    ai shaKHs jo tu aakar yun dil mein samaya hai

    tu dard ki darman hai to dhup ki saya hai?

    nainan tere jadu hain gesu tere KHushbu hain

    baaten kisi jangal mein bhaTka hua aahu hain

    maqsud-e-wafa sun le kya saf hai sada hai

    jine ki tamanna hai marne ka irada hai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now