Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye log

Balraj Komal

ye log

Balraj Komal

MORE BYBalraj Komal

    us shaam rañgīnī se jo baat chalī hai

    shab bhar vo mirī fikr ko sahlātī rahī thī

    jo log vahāñ aa.e the sab shoḳh-o-javāñ the

    har baat pe hañste the uchhal paḌte the ik dam

    kitne mazāmīn dimāġhoñ ne navāze

    kuchh husn kuchh ishq kuchh ḳhvāb bāteñ

    mahbūb āñkhoñ meñ utar jaane ke armāñ

    saaqī adāoñ se lipaTne umañgeñ

    hoñToñ pe koī aah kisī yād-e-hasīñ

    kuchh rañg-e-siyāsat pe lab-e-fikr rahmat

    logoñ ke zamāne ke kitāboñ ke fasāne

    ummīd palkoñ pe kisī shikve ke aañsū

    sīnoñ kisī talḳhī-e-be-nām ke lab par

    āḳhir meñ kisī jang afsurda hikāyat

    mahfil tamāzat meñ baḌe naaz se baiThe

    ye log kisī zulf ko suljhāte rahe the

    ik maiñ bhī thā ḳhāmosh pareshān vahāñ par

    har lamha mirī nazroñ ne mahfil ko TaTolā

    shāyad kahīñ mil jaa.e koī nanhā sharāra

    ik nuqta jahāñ ruktī haiñ maqsad nigāheñ

    ye log mire dost masarrat ke bhikārī

    bātoñ ke sivā in meñ koī baat nahīñ thī

    us sham ki rangini se jo baat chali hai

    shab bhar wo meri fikr ko sahlati rahi thi

    jo log wahan aae the sab shoKH-o-jawan the

    har baat pe hanste the uchhal paDte the ek dam

    kitne hi mazamin dimaghon ne nawaze

    kuchh husn ki kuchh ishq ki kuchh KHwab ki baaten

    mahbub ki aankhon mein utar jaane ke arman

    saqi ki adaon se lipaTne ki umangen

    honTon pe koi aah kisi yaad-e-hasin ki

    kuchh rang-e-siyasat pe lab-e-fikr ki rahmat

    logon ke zamane ke kitabon ke fasane

    ummid ki palkon pe kisi shikwe ke aansu

    sinon ki kisi talKHi-e-be-nam ke lab par

    aaKHir mein kisi jang ki afsurda hikayat

    mahfil ki tamazat mein baDe naz se baiThe

    ye log kisi zulf ko suljhate rahe the

    ek main bhi tha KHamosh pareshan wahan par

    har lamha meri nazron ne mahfil ko TaTola

    shayad kahin mil jae koi nanha sharara

    ek nuqta jahan rukti hain maqsad ki nigahen

    ye log mere dost masarrat ke bhikari

    baaton ke siwa in mein koi baat nahin thi

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now