Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye mera hindostan

Khaleequzzaman Nusrat

ye mera hindostan

Khaleequzzaman Nusrat

MORE BYKhaleequzzaman Nusrat

    saare jag se hai mahān

    ye merā hindostān

    pyārī mujh ko azmat is

    sadqe is pe merī jaan

    saare jag se hai mahān

    ye merā hindostān

    bastī bastī jangal jangal jīvan rut chāroñ or

    āñkhoñ meñ ThanDak paḌ jaa.e jab jab par phailā.eñ mor

    nadiyāñ nahreñ baaġh aur baġhīche hare-bhare khet aur khaliyān

    saare jag se hai mahān

    ye merā hindostān

    mere hindostān dhartī saare jag se nyārī

    rang-rang ke phuul haiñ jis meñ ye aisī phulvārī

    hindū muslim sikh īsā.ī sab jaise ik ḳhāndān

    saare jag se hai mahān

    ye merā hindostān

    sab ko āzādī ḳhushiyāñ rāhat sāmān mile

    hirdai piiḌā miT jaa.e hoñToñ muskān mile

    puurā ho barsoñ sapnā rah jaa.e purkhoñ aan

    saare jag se hai mahān

    ye merā hindostān

    sare jag se hai mahan

    ye mera hindostan

    pyari mujh ko azmat is ki

    sadqe is pe meri jaan

    sare jag se hai mahan

    ye mera hindostan

    basti basti jangal jangal jiwan ki rut chaaron or

    aankhon mein ThanDak paD jae jab jab par phailaen mor

    nadiyan nahren bagh aur baghiche hare-bhare khet aur khaliyan

    sare jag se hai mahan

    ye mera hindostan

    mere hindostan ki dharti sare jag se nyari

    rang-rang ke phul hain jis mein ye aisi phulwari

    hindu muslim sikh isai sab jaise ek KHandan

    sare jag se hai mahan

    ye mera hindostan

    sab ko aazadi ki KHushiyan rahat ka saman mile

    hirdai ki piDa miT jae honTon ki muskan mile

    pura ho barson ka sapna rah jae purkhon ki aan

    sare jag se hai mahan

    ye mera hindostan

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now