Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye mujh mein kaun hai

Aabid Jafri

ye mujh mein kaun hai

Aabid Jafri

MORE BYAabid Jafri

    ye mujh meñ kaun hai

    ki jab bhī gardish-e-lahū ne

    mere jism harārateñ

    har ik rag-e-hayāt meñ utaar diiñ

    to us ḳhud-kalāmiyoñ ne

    niiñd siyāh chādareñ sameT liiñ

    samā.atoñ rahguzar meñ

    us guftugū ke qāfile ruke

    to dasht-e-zindagī pe

    abr ġhilāf aa gayā

    sukūt-e-zindagī meñ jaise inqalāb aa gayā

    maiñ us se pūchhtā rahā

    ki kab talak ye marg-o-zīst musībateñ

    firāq-o-vasl sa.ūbateñ

    mire vajūd par raheñgī ḳhema-zan

    magar mire savāl par

    merī arz-e-hāl par

    nuzūl-e-harf-e-āgahī na ho sakā

    vo mujh meñ asl zaat tarah rahā magar kabhī

    ye munkashif na ho sakā

    ki is ḳhiyām-e-zāt meñ mire sivā ye kaun hai

    ik ajnabī āshnā

    ye mujh meñ kaun hai

    ye mujh mein kaun hai

    ki jab bhi gardish-e-lahu ne

    mere jism ki hararaten

    har ek rag-e-hayat mein utar din

    to us ki KHud-kalamiyon ne

    nind ki siyah chadaren sameT lin

    samaaton ki rahguzar mein

    us ki guftugu ke qafile ruke

    to dasht-e-zindagi pe

    abr ka ghilaf aa gaya

    sukut-e-zindagi mein jaise inqalab aa gaya

    main us se puchhta raha

    ki kab talak ye marg-o-zist ki musibaten

    firaq-o-wasl ki saubaten

    mere wajud par rahengi KHema-zan

    magar mere sawal par

    ya meri arz-e-haal par

    nuzul-e-harf-e-agahi na ho saka

    wo mujh mein asl zat ki tarah raha magar kabhi

    ye munkashif na ho saka

    ki is KHiyam-e-zat mein mere siwa ye kaun hai

    ek ajnabi sa aashna

    ye mujh mein kaun hai

    Source:

    Sapne Jagti Aankhon Ke (Pg. 93)

    • Author: Aabid Jafri
      • Publisher: Institute of Third World Arts & Literature, Britannia
      • Year of Publication: 1990
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now