Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye puri kaenat

Javed Nadeem

ye puri kaenat

Javed Nadeem

MORE BYJaved Nadeem

    ye puurī kā.enāt

    maiñ sirf tumhāre nizām-e-shamsī baat nahīñ kar rahā huuñ

    is zaat ā.īna hai

    jo ek lafz-e-kun se aise kitne nizām haa.e shams ḳhalq kar saktī hai

    aur ā.īna

    kabhī kizb-bayānī se kaam nahīñ letā

    tum

    jo nafs-e-ammāra ke ā.īne se dekhne ke aadī ho

    kabhī ḳhud ko nafs-e-mutma.inna ke darpan meñ nahīñ dekhte

    agar tum dekh sako

    to

    qudrat ne.amateñ tumheñ kabhī sajda-e-shukr se uThne na deñ

    sadaf

    samundar se alag ho kar motī paidā nahīñ kar saktā

    aur bahr-e-sadāqat meñ utre baġhair tum

    zindagī ke sadaf se gauhar-e-nashāt hāsil nahīñ kar sakte

    ye puri kaenat

    main sirf tumhaare nizam-e-shamsi ki baat nahin kar raha hun

    is zat ka aaina hai

    jo ek lafz-e-kun se aise kitne hi nizam hae shams KHalq kar sakti hai

    aur aaina

    kabhi kizb-bayani se kaam nahin leta

    tum

    jo nafs-e-ammara ke aaine se dekhne ke aadi ho

    kabhi KHud ko nafs-e-mutmainna ke darpan mein nahin dekhte

    agar tum dekh sako

    to

    qudrat ki neamaten tumhein kabhi sajda-e-shukr se uThne na den

    sadaf

    samundar se alag ho kar moti paida nahin kar sakta

    aur bahr-e-sadaqat mein utre baghair tum

    zindagi ke sadaf se gauhar-e-nashat hasil nahin kar sakte

    Source:

    Mauj-e-Khayal (Pg. 118)

    • Author: Javed Nadeem
      • Publisher: Takmeel Publications, Mumbai
      • Year of Publication: 2002
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now