Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye tamasha-e-gah-e-alam kya hai

Tasadduq Husain Khalid

ye tamasha-e-gah-e-alam kya hai

Tasadduq Husain Khalid

MORE BYTasadduq Husain Khalid

    tum chaman-zād ho fitrat ke qarīñ rahte ho

    dil ye kahtā hai ki tum mahram-e-asrār bhī ho

    tumheñ fitrat bahāroñ qasam

    ye tamāshā-gah-e-ālam kyā hai

    nūr-e-ḳhurshīd jāñ-soz jahāñ-tāb jamāl

    āsmānoñ pe sitāroñ subuk-kām ḳhirām

    ye garajte hue bādal

    ye samundar ḳharosh

    ye parindoñ ke suhāne naġhme

    kahīñ baḌhtī huī azmat kahīñ luTtā huā husn

    be-sabab buḳhl farāvāñ-baḳhshī

    qaht ālām masā.ib ke pahāḌ

    aish ke khusravī-o-tantana-e-faġhfūrī

    kahīñ parvez ke hiile kahīñ chañgez ke zulm

    kahīñ shabbīrī-o-ibrāhīmī

    raaz raaz hai hairat-kada-e-bazm-e-numūd

    tum chaman-zād ho fitrat ke qarīñ rahte ho

    ye tamāshā-gah-e-ālam kyā hai

    nūr-e-mahtāb chādar le kar

    ghaas sotī rahī

    phuul lab band rahe

    peḌ rahe mahv-e-sukūt

    tund-rau bād-e-shumālī tarīḌā aayā

    phuul teyorā se ga.e

    peḌ hue sar-ba-sujūd

    ghaas ne chādar-e-mahtāb meñ karvaT badlī

    ye tamāshā-gah-e-ālam kyā hai

    tum chaman-zad ho fitrat ke qarin rahte ho

    dil ye kahta hai ki tum mahram-e-asrar bhi ho

    tumhein fitrat ki bahaaron ki qasam

    ye tamasha-gah-e-alam kya hai

    nur-e-KHurshid ka jaan-soz jahan-tab jamal

    aasmanon pe sitaron ka subuk-kaam KHiram

    ye garajte hue baadal

    ye samundar ka KHarosh

    ye parindon ke suhane naghme

    kahin baDhti hui azmat kahin luTta hua husn

    be-sabab buKHl farawan-baKHshi

    qaht aalam masaib ke pahaD

    aish ke khusrawi-o-tantana-e-faghfuri

    kahin parwez ke hile kahin changez ke zulm

    kahin shabbiri-o-ibrahimi

    raaz hi raaz hai hairat-kada-e-bazm-e-numud

    tum chaman-zad ho fitrat ke qarin rahte ho

    ye tamasha-gah-e-alam kya hai

    nur-e-mahtab ki chadar le kar

    ghas soti hi rahi

    phul lab band rahe

    peD rahe mahw-e-sukut

    tund-rau baad-e-shumali ka tariDa aaya

    phul teyora se gae

    peD hue sar-ba-sujud

    ghas ne chadar-e-mahtab mein karwaT badli

    ye tamasha-gah-e-alam kya hai

    Source :
    • Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 78)
    • Author : Munavvar Jameel
    • Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
    • Edition : 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now