Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye tamanna abas

Shahzad Ahmad

ye tamanna abas

Shahzad Ahmad

MORE BYShahzad Ahmad

    use dekhne tamannā abas

    vo kaisā lagegā

    abhī dhundlī dhundlī lakīroñ ne chehra banāyā nahīñ

    abhī us āvāz bhī resha resha hai

    us ne guzartī huī sā.atoñ ko batāyā nahīñ

    abhī barf tah ke nīche haiñ āñkhoñ jhīleñ

    abhī jhiil machhliyāñ zard sūraj kirnoñ se mahrūm haiñ

    magar kyā ḳhabar

    vo azal se abad tak isī kaifiyat meñ rahe

    mirī aañkh us badaltī huī rañgtoñ se shanāsā na ho

    maiñ use kyuuñ adhūrā kahūñ

    merī āñkheñ shāyad mukammal na ho

    yahī sochte sochte mujh ko niiñd aa ga.ī

    aur havā der tak mere kānoñ meñ kahtī rahī

    dekh le dekh le

    maiñ ne ghabrā ke āñkheñ uThā.īñ

    vahāñ tīrgī ke sivā aur koī na thā

    maiñ ne dil se kahā

    raat kaafī paḌī hai abhī svar haiñ

    svar haiñ

    abhī niiñd pahlā jhoñkā bhī aayā na thā

    phir havā ne kahā dekh le dekh le

    ḳhāmushī rañg hai

    tīrgī sadā sañg hai

    bante bante hue roz-o-shab naqsh-e-pā se zyāda nahīñ

    aur sochtā hai ki takmīl ho

    chehre itne shanāsā hoñ to un ko pahchān le

    ye tamannā abas

    use dekhne ki tamanna abas

    wo kaisa lagega

    abhi dhundli dhundli lakiron ne chehra banaya nahin

    abhi us ki aawaz bhi resha resha hai

    us ne guzarti hui saaton ko bataya nahin

    abhi barf ki tah ke niche hain aankhon ki jhilen

    abhi jhil ki machhliyan zard suraj ki kirnon se mahrum hain

    magar kya KHabar

    wo azal se abad tak isi kaifiyat mein rahe

    ya meri aankh us ki badalti hui rangton se shanasa na ho

    main use kyun adhura kahun

    meri aankhen hi shayad mukammal na ho

    yahi sochte sochte mujh ko nind aa gai

    aur hawa der tak mere kanon mein kahti rahi

    dekh le dekh le

    main ne ghabra ke aankhen uThain

    wahan tirgi ke siwa aur koi na tha

    main ne dil se kaha

    raat kafi paDi hai abhi swar hain

    swar hain

    abhi nind ka pahla jhonka bhi aaya na tha

    phir hawa ne kaha dekh le dekh le

    KHamushi rang hai

    tirgi ki sada sang hai

    bante bante hue roz-o-shab naqsh-e-pa se zyaada nahin

    aur tu sochta hai ki takmil ho

    chehre itne shanasa hon to un ko pahchan le

    ye tamanna abas

    Source:

    auraq salnama magazines (Pg. e-261 p-249)

    • Author: Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
      • Edition: 1967
      • Publisher: Daftar Mahnama Auraq Lahor
      • Year of Publication: 1967
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now