aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yudhishthir

Ambar Bahraichi

yudhishthir

Ambar Bahraichi

MORE BYAmbar Bahraichi

    abhī chiiḌ ke jañgaloñ se guzarnā bahut jāñ-fazā hai

    ka.ī miil ke baad barfīle tūdoñ sahrā milegā

    jahāñ sard purvā.iyoñ ke thapeḌe thirakte mileñge

    umūdī Dhalānoñ ik silsila bhī milegā achānak

    jise paar karne dhun meñ tumheñ apne sab sāthiyoñ ko galānā paḌegā

    hasīñ daraupadī aur tumhāre jarī bhā.iyoñ jamā.at

    inhīñ barf-zāroñ hissa banegī

    magar ye bhī hogā yudhishthir! tumhārā vafādār kuttā

    tumhāre aqab meñ ba-sad-shauq har vaqt chaltā rahegā

    muḳhālif fazā meñ tumhārī dhaḌkan hissa rahegā

    use yaḳh jahannam nahīñ chhū sakegā

    tumhāre jarī bhā.iyoñ vajāhat tumhārī hasīñ daraupadī malāhat

    tumhāre vafādār kutte ke aage pashīmāñ rahegī

    abhi chiD ke jangalon se guzarna bahut jaan-faza hai

    kai mil ke baad barfile tudon ka sahra milega

    jahan sard purwaiyon ke thapeDe thirakte milenge

    umudi Dhalanon ka ek silsila bhi milega achanak

    jise par karne ki dhun mein tumhein apne sab sathiyon ko galana paDega

    hasin daraupadi aur tumhaare jari bhaiyon ki jamaat

    inhin barf-zaron ka hissa banegi

    magar ye bhi hoga yudhishthir! tumhaara wafadar kutta

    tumhaare aqab mein ba-sad-shauq har waqt chalta rahega

    muKHalif faza mein tumhaari hi dhaDkan ka hissa rahega

    use yaKH jahannam nahin chhu sakega

    tumhaare jari bhaiyon ki wajahat tumhaari hasin daraupadi ki malahat

    tumhaare wafadar kutte ke aage pashiman rahegi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now