Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zakir-husain

MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

    terī fitrat meñ hai 'gobind' āsār magar

    'ibn-e-mariyam' muqallid tirā kirdār magar

    raam aur kirshn ke jīvan se tujhe pyaar magar

    bāda-e-hubb-e-mohammad se bhī sarshār magar

    sikh na īsā.ī na hindū na musalmān hai

    terā īmān ye kahtā hai ki insān hai

    hinduoñ se tujhe lenā hai zehānat kamāl

    aur sikkhoñ se shujā.at ki na ho jis misāl

    ahl-e-islām se lenā hai ibādat jalāl

    aur issā.iyoñ se sabr lagan aur istiqlāl

    in anāsir ko mohabbat se milānā hogā

    kishvar-e-hind insān banānā hogā

    man ke mandir ko munavvar kare nūr-e-islām

    ka.aba-e-dil meñ rahe shām-o-sahar raam naam

    kabhī gañgā kabhī kausar se mileñ jaam pe jaam

    yuuñ baneñ shīr-o-shakar terī hukūmat meñ avaam

    raam ho aur rahīm aur na hone paa.e

    ab koī bachcha yatīm aur na hone paa.e

    tujh se ummīd ye hai ki mulk meñ iflās na ho

    tañg-dastī na aa.e kahīñ yaas na ho

    alam-o-ranj dukh-dard ehsās na ho

    aur ta.assub kisī qaum meñ bū-bās na ho

    unsur-e-amn shikan ko tah-o-bālā kar de

    to jo aayā hai to duniyā meñ ujālā kar de

    teri fitrat mein hai 'gobind' ka aasar magar

    'ibn-e-mariyam' ka muqallid tera kirdar magar

    ram aur kirshn ke jiwan se tujhe pyar magar

    baada-e-hubb-e-mohammad se bhi sarshaar magar

    sikh na isai na hindu na musalman hai tu

    tera iman ye kahta hai ki insan hai tu

    hinduon se tujhe lena hai zehanat ka kamal

    aur sikkhon se shujaat ki na ho jis ki misal

    ahl-e-islam se lena hai ibaadat ka jalal

    aur issaiyon se sabr lagan aur istiqlal

    in anasir ko mohabbat se milana hoga

    kishwar-e-hind ka insan banana hoga

    man ke mandir ko munawwar kare nur-e-islam

    kaba-e-dil mein rahe sham-o-sahar ram ka nam

    kabhi ganga kabhi kausar se milen jam pe jam

    yun banen shir-o-shakar teri hukumat mein awam

    ram ho aur rahim aur na hone pae

    ab koi bachcha yatim aur na hone pae

    tujh se ummid ye hai ki mulk mein iflas na ho

    tang-dasti na aae kahin yas na ho

    alam-o-ranj ka dukh-dard ka ehsas na ho

    aur tassub ki kisi qaum mein bu-bas na ho

    unsur-e-amn shikan ko tah-o-baala kar de

    to jo aaya hai to duniya mein ujala kar de

    Source:

    Hindustan Hamara (Vol. 2) (Pg. E-527 B-533)

      • Edition: 1974
      • Publisher: Hindustani Book Trust, Mumbai
      • Year of Publication: 1974
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now