Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zaban

MORE BYFiroz Rasheed

    kisī buzurg se ik roz maiñ ne ye pūchhā

    bhalā durustī-e-īmān hai kyā nusḳha

    kahā buzurg ne apnī zabān achchhī rakh

    girah meñ bāñdh ke merī ye baat sachchī rakh

    zabāñ durust to phir dil durust hai terā

    ho dil durust to īmān puḳhta-tar hogā

    zabāñ aham hai badan ke tamām a.azā meñ

    milā zabān ko a.alā maqām a.azā meñ

    zabāñ sañbhāl ke rakhtā hai har koī taa.ib

    zabān jism meñ hotī hai aql naa.eb

    zabān dil jo bāteñ bayān kartī hai

    to dil meñ baat zabāñ har ik utartī hai

    zabān achchhī agar hai to dil bhī raushan hai

    zabāñ ḳharāb to dil zulmatoñ madfan hai

    zabāñ se baat jis andāz nikaltī hai

    usī lihāz se dil adā badaltī hai

    tamām jism ko gar mamlikat kahā jaa.e

    to baat sab samajh meñ ye saaf aa jaa.e

    hukūmat aañkh mahdūd hai basārat tak

    to kaan hai hukūmat mahz samā.at tak

    har ek uzv ne paayā hai ek ḳhitta

    zabāñ ke taabe magar mamlikat har hissa

    zabāñ vaqār ko insān ke baḌhātī hai

    yahī zabān magar saakh bhī ghaTātī hai

    zabān achchhī hai terī to phir ye rahmat hai

    zabāñ ḳharāb hai terī to phir ye zahmat hai

    kisi buzurg se ek roz main ne ye puchha

    bhala durusti-e-iman ka hai kya nusKHa

    kaha buzurg ne apni zaban achchhi rakh

    girah mein bandh ke meri ye baat sachchi rakh

    zaban durust to phir dil durust hai tera

    ho dil durust to iman puKHta-tar hoga

    zaban aham hai badan ke tamam aaza mein

    mila zaban ko aala maqam aaza mein

    zaban sanbhaal ke rakhta hai har koi taib

    zaban jism mein hoti hai aql ki naeb

    zaban dil ki jo baaten bayan karti hai

    to dil mein baat zaban ki har ek utarti hai

    zaban achchhi agar hai to dil bhi raushan hai

    zaban KHarab to dil zulmaton ka madfan hai

    zaban se baat jis andaz ki nikalti hai

    usi lihaz se dil ki ada badalti hai

    tamam jism ko gar mamlikat kaha jae

    to baat sab ki samajh mein ye saf aa jae

    hukumat aankh ki mahdud hai basarat tak

    to kan ki hai hukumat mahz samaat tak

    har ek uzw ne paya hai ek hi KHitta

    zaban ke tabe magar mamlikat ka har hissa

    zaban waqar ko insan ke baDhati hai

    yahi zaban magar sakh bhi ghaTati hai

    zaban achchhi hai teri to phir ye rahmat hai

    zaban KHarab hai teri to phir ye zahmat hai

    Source:

    Adhi Raat Ke Aansu (Pg. 59)

    • Author: Firoz Rasheed
      • Publisher: Toov Publication, Maharashtra
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now