Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zahrili taKHliq

Shahzad Ahmad

zahrili taKHliq

Shahzad Ahmad

MORE BYShahzad Ahmad

    ek pal meñ ḳhatm ho saktī hai vus.at dahr

    choTiyoñ se choTiyoñ tak rāsta

    aage ḳhalā

    aur ḳhalā tīrgī meñ duur se aa.ī huī kirnoñ ke rañgoñ numūd

    āsmāñ ke paañv par mahtāb o anjum ke sujūd

    aur zamīñ raunaqoñ vahm fikr-e-raft-o-ūd

    bun diye kis ne ye tār-o-pūd

    kis ke haath meñ aayā nizām-e-kā.enāt

    kis ke zarre ban ga.e duniyā sitāre āftāb

    kis ne āvāra-ḳhayālī ko pilā.ī fikr-e-shīrīñ sharāb

    kis ne ye sab kuchh banāyā

    aur ḳhud tārīk pardoñ meñ kahīñ baiThā rahā

    kyā ye sab phailāv mere vāste haiñ

    maiñ ḳhud us purānī ruuh meñ baiThā huā

    gin rahā huuñ us ke ashkoñ qatār

    poñchhtā huuñ us ke aañsū māñgtā huuñ us se bhiik

    (chāhtā huuñ ruuh ḳhātir sukūñ)

    vo to ḳhud is ḳhair-o-shar ke jaal meñ uljhā huā

    dard se betāb taḳhlīq-e-aziyyat se niDhāl

    chīḳh kar kahtā hai ''mujh ko maar Dāl''

    ek pal mein KHatm ho sakti hai wusat dahr ki

    choTiyon se choTiyon tak rasta

    aage KHala

    aur KHala ki tirgi mein dur se aai hui kirnon ke rangon ki numud

    aasman ke panw par mahtab o anjum ke sujud

    aur zamin ki raunaqon ka wahm fikr-e-raft-o-ud

    bun diye kis ne ye tar-o-pud

    kis ke hath mein aaya nizam-e-kaenat

    kis ke zarre ban gae duniya sitare aaftab

    kis ne aawara-KHayali ko pilai fikr-e-shirin ki sharab

    kis ne ye sab kuchh banaya

    aur KHud tarik pardon mein kahin baiTha raha

    kya ye sab phailaw mere waste hain

    ya main KHud us ki purani ruh mein baiTha hua

    gin raha hun us ke ashkon ki qatar

    ponchhta hun us ke aansu mangta hun us se bhik

    (chahta hun ruh ki KHatir sukun)

    wo to KHud is KHair-o-shar ke jal mein uljha hua

    dard se betab taKHliq-e-aziyyat se niDhaal

    chiKH kar kahta hai mujh ko mar Dal

    Source:

    Deewar pe dastak (Pg. 828)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now