Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zard jhil

Sara Khan

zard jhil

Sara Khan

MORE BYSara Khan

    dekho us jhiil mukhḌā jaise ḳhvāb ḳhayāl

    kaisā hai āvāz jaadū jaise megh malhār

    zulfeñ haiñ ki haule se chhū le koī purvā.ī

    us hañsnā aise jaise paa.el jhankār

    rangat aisī duur pahāḌoñ par Dhaltī shaam

    dekho us āñkheñ dekho jaise diip jaleñ

    dekho us ke haath rekhāoñ sundartā

    lekin dekho

    us par jo kuchh darj huā thā

    aañkh ke jalte paanī se sab raakh huā hai

    dekho us ke haath rekhā

    Duub ga.ī hai

    dekho dīpak aañkh sapnā ḳhaak huā hai

    dekho us ka jhil sa mukhDa jaise KHwab KHayal

    kaisa hai aawaz ka jadu jaise megh malhaar

    zulfen hain ki haule se chhu le koi purwai

    us ka hansna aise jaise pael ki jhankar

    rangat aisi dur pahaDon par Dhalti si sham

    dekho us ki aankhen dekho jaise dip jalen

    dekho us ke hath ki rekhaon ki sundarta

    lekin dekho

    us par jo kuchh darj hua tha

    aankh ke jalte pani se sab rakh hua hai

    dekho us ke hath ki rekha

    Dub gai hai

    dekho dipak aankh ka sapna KHak hua hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now