Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zard patte

Ain Rashid

zard patte

Ain Rashid

MORE BYAin Rashid

    Dher meñ

    ḳhāmosh

    so.e the

    vo sab

    yak-ba-yak

    jumbish huī

    jaage sabhī

    phir

    sharārat se

    havā meñ

    tairne uḌne lage

    aa.e the

    kyoñ

    aur kyoñ chale maiñ ne kahā

    patte patte patte haiñ

    iThlā ke vo kahne lage

    ham yahāñ

    ek ḳhūbsūrat ḳhvāb

    āñkhoñ meñ jagā.e

    so rahe the

    ki koī fankār

    sunahre zard aur bhūre rañgoñ meñ

    Dhaal de ham ko

    ki

    har chashm-e-bīnā ke liye

    jab koī aayā nahīñ

    jaate haiñ ham

    Dher mein

    KHamosh

    soe the

    wo sab

    yak-ba-yak

    jumbish hui

    jage sabhi

    phir

    shararat se

    hawa mein

    tairne uDne lage

    aae the

    kyon

    aur kyon chale main ne kaha

    patte patte patte hain

    iThla ke wo kahne lage

    hum yahan

    ek KHubsurat KHwab

    aankhon mein jagae

    so rahe the

    ki koi fankar

    sunahre zard aur bhure rangon mein

    Dhaal de hum ko

    ki

    har chashm-e-bina ke liye

    jab koi aaya nahin

    jate hain hum

    Source:

    Aabnoosi Khayal (Pg. 49)

    • Author: Ain Rashid
      • Publisher: Begam Naseem Khan
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now