Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zarf

MORE BYNazish Kashmiri

    nashsha-e-bada ḳhamyāza tan-o-jāñ ḳhumār

    dard añg añg āñkhoñ jalan dil azaab

    ai ki bāda-e-sar-josh mutamannī hai

    ne sochā hai kabhī apnī tamannā ma.aal

    maiñ ki is karb-e-qayāmat se huuñ āgāh mujhe

    peshkash jaam karte hue ḳhauf aatā hai

    tere a.asāb pe ye bār-e-mabādā ho garāñ is darja

    farsh-e-hastī pe bikhar jaa.e to TukḌe ho kar

    jaam hāzir hai ki maiñ aur mirā mashrab-e-ḳhās

    buḳhl se ek bhī pahlū se nahīñ hai mansūb

    haañ magar jaam uThānā hai to soch zarūr

    zarf-e-mai-ḳhvār se qaa.em hai vaqār-e-mai-ḳhvār

    nashsha-e-bada ka KHamyaza tan-o-jaan ka KHumar

    dard ang ang ka aankhon ki jalan dil ka azab

    ai ki tu baada-e-sar-josh ka mutamanni hai

    tu ne socha hai kabhi apni tamanna ka maal

    main ki is karb-e-qayamat se hun aagah mujhe

    peshkash jam ki karte hue KHauf aata hai

    tere aasab pe ye bar-e-mabaada ho garan is darja

    farsh-e-hasti pe bikhar jae to TukDe ho kar

    jam hazir hai ki main aur mera mashrab-e-KHas

    buKHl se ek bhi pahlu se nahin hai mansub

    han magar jam uThana hai to tu soch zarur

    zarf-e-mai-KHwar se qaem hai waqar-e-mai-KHwar

    Source:

    auraq salnama magazines (Pg. e-263 p-251)

    • Author: Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
      • Edition: 1967
      • Publisher: Daftar Mahnama Auraq Lahore
      • Year of Publication: 1967
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now