Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zaruri hai

Ataur Rahman Tariq

zaruri hai

Ataur Rahman Tariq

MORE BYAtaur Rahman Tariq

    chhoTī hai baat samajh lenā 'farhān' zarūrī hai

    dhartī se ākāsh talak ho utnā gyaan zarūrī hai

    achchhe aur bure sohbat apnā rañg dikhātī hai

    khoTe aur khare tum ko ho pahchān zarūrī hai

    mil-jul kar rahnā hai jīvan mil-jul kar ham rahte haiñ

    giitā ke shlok zarūrī haiñ qur.ān zarūrī hai

    honī to ho kar rahtī hai lekin itnā yaad rahe

    nanhe nanhe hoñToñ par khele muskān zarūrī hai

    prem ḳhushbū chappe chappe meñ tum ko phailānā hai

    sun lo merī aañkh ke taaro ye elaan zarūrī hai

    ham ko apne desh ḳhātir jiinā hai mar jaanā hai

    is duniyā ko rahnā hai to hindostān zarūrī hai

    chhoTi si hai baat samajh lena 'farhan' zaruri hai

    dharti se aakash talak ho utna gyan zaruri hai

    achchhe aur bure ki sohbat apna rang dikhati hai

    khoTe aur khare ki tum ko ho pahchan zaruri hai

    mil-jul kar rahna hai jiwan mil-jul kar hum rahte hain

    gita ke shlok zaruri hain quran zaruri hai

    honi to ho kar rahti hai lekin itna yaad rahe

    nanhe nanhe honTon par khele muskan zaruri hai

    prem ki KHushbu chappe chappe mein tum ko phailana hai

    sun lo meri aankh ke taro ye elan zaruri hai

    hum ko apne desh ki KHatir jina hai mar jaana hai

    is duniya ko rahna hai to hindostan zaruri hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now