Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindabaad ai watan

Fazal Haq Azimabadi

zindabaad ai watan

Fazal Haq Azimabadi

MORE BYFazal Haq Azimabadi

    zindābād ai vatan zindābād ai vatan

    tujh se ābād hai zindagī chaman

    tere uttar himāla tirā pāsbāñ

    tere dakhkhin meñ hai hind-sāgar ravāñ

    tere pūrab meñ hai desh bañgla javāñ

    tere pachchhim buhaira-arab nigahbāñ

    terī dhartī pe bahtī rahī gang-o-jaman

    zindābād ai vatan zindābād ai vatan

    tere sāñche meñ gautam insāñ Dhalā

    terī dhartī pe nānak bhī paidā huā

    terī āġhosh meñ murlī vaalā palā

    tere gulshan meñ islām phūlā-phalā

    tere pahlū meñ sab rahe haiñ magan

    zindābād ai vatan zindābād ai vatan

    tujh pe bahutoñ ne aa kar hukūmat bhī

    saikḌoñ ne bilā-vaj.h nafrat bhī

    kuchh to vo the jinhoñ ne sharārat bhī

    haiñ karoḌoñ jinhoñ ne mohabbat bhī

    tujh pe qurbān kyūñkar na ho jān-o-tan

    zindābād ai vatan zindābād ai vatan

    bhagat singh āñkhoñ taarā banā

    Tiipū sultān dulārā banā

    bose har qadam par sahārā banā

    mohammad alī bhī pyārā banā

    jaan par kisī ne na toḌā vachan

    zindābād ai vatan zindābād ai vatan

    god lenā sadā terī riitī rahī

    panj-shīl aaj tak terī niitī rahī

    tujh se sachchā.ī duniyā meñ jiitī rahī

    tujh se nāgin sadā duudh piitī rahī

    tujh se sīkhā ahinsā sab ne chalan

    zindābād ai vatan zindābād ai vatan

    tujh pe gāñdhī javāhar ne rakkhī nazar

    terī 'hasrat' 'tilak' ne sadā ḳhabar

    jaan de ke hue tujh pe lākhoñ amar

    indarā ne sañvārā thā tujh ko magar

    sab ne mil kar banāyā hai tujh ko dulhan

    zindābād ai vatan zindābād ai vatan

    zindabaad ai watan zindabaad ai watan

    tujh se aabaad hai zindagi ka chaman

    tere uttar himala tera pasban

    tere dakhkhin mein hai hind-sagar rawan

    tere purab mein hai desh bangla jawan

    tere pachchhim buhaira-arab nigahban

    teri dharti pe bahti rahi gang-o-jaman

    zindabaad ai watan zindabaad ai watan

    tere sanche mein gautam sa insan Dhala

    teri dharti pe nanak bhi paida hua

    teri aaghosh mein murli wala pala

    tere gulshan mein islam phula-phala

    tere pahlu mein sab hi rahe hain magan

    zindabaad ai watan zindabaad ai watan

    tujh pe bahuton ne aa kar hukumat bhi ki

    saikDon ne bila-wajh nafrat bhi ki

    kuchh to wo the jinhon ne shararat bhi ki

    hain karoDon jinhon ne mohabbat bhi ki

    tujh pe qurban kyunkar na ho jaan-o-tan

    zindabaad ai watan zindabaad ai watan

    tu bhagat singh ki aankhon ka tara bana

    Tipu sultan ka tu dulara bana

    bose ka har qadam par sahaara bana

    tu mohammad ali ka bhi pyara bana

    jaan di par kisi ne na toDa wachan

    zindabaad ai watan zindabaad ai watan

    god lena sada teri riti rahi

    panj-shil aaj tak teri niti rahi

    tujh se sachchai duniya mein jiti rahi

    tujh se nagin sada dudh piti rahi

    tujh se sikha ahinsa ka sab ne chalan

    zindabaad ai watan zindabaad ai watan

    tujh pe gandhi jawahar ne rakkhi nazar

    teri 'hasrat' 'tilak' ne sada li KHabar

    jaan de ke hue tujh pe lakhon amar

    indara ne sanwara tha tujh ko magar

    sab ne mil kar banaya hai tujh ko dulhan

    zindabaad ai watan zindabaad ai watan

    Source:

    Jazbat-e-Shahid (Pg. 34)

    • Author: Fazal Haq Azimabadi
      • Publisher: Mohammad Tauheed Anwar
      • Year of Publication: 2007

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now