Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi aur maut

Krishna Mohan

zindagi aur maut

Krishna Mohan

MORE BYKrishna Mohan

    maut hai ziist ham-safar

    ek vaqt par

    jiine ke saath martā chalā rahā hai bashar

    maut aur ziist ik dūsre se kahāñ duur haiñ

    har ghaḌī jaan kuchh na kuchh juzv martā chalā jaa.e hai

    ham jo har aan marte chale rahe haiñ bil-aqsāt ik roz mar jā.eñge

    zarra-zarra bikhar jā.eñge

    janm-din to marne āġhāz hai

    janm din maran din bhī hai is liye

    maut bāhar nahīñ balki andar hai hastī meñ tahlīl hai

    ziist marg-e-musalsal tashkīl hai

    maut hai zist ki ham-safar

    ek hi waqt par

    jine ke sath marta chala ja raha hai bashar

    maut aur zist ek dusre se kahan dur hain

    har ghaDi jaan ka kuchh na kuchh juzw marta chala jae hai

    hum jo har aan marte chale ja rahe hain bil-aqsat ek roz mar jaenge

    zarra-zarra bikhar jaenge

    janm-din hi to marne ka aaghaz hai

    janm din hi maran din bhi hai is liye

    maut bahar nahin balki andar hai hasti mein tahlil hai

    zist marg-e-musalsal ki tashkil hai

    Source:

    Mahanama Tahrik Jild 26 (Pg. 220)

      • Publisher: Unknown Organization
      • Year of Publication: 1978
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now