Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi aur maut

Fazlurrahman

zindagi aur maut

Fazlurrahman

MORE BYFazlurrahman

    maut ik ḳhvāb hai ajzā-e-badan hamdam

    zindagī naam hai ehsās bedārī

    maut jis rah-guzar-e-shauq meñ rahzan naqāb

    zindagī raḳht isī rāh-e-talab-gārī

    zindagī jism-o-dil-o-jāñ munazzam quvvat

    maut iz.hār pareshānī-o-lāchārī

    maut sahrāoñ meñ bikhre hue zarroñ ġhubār

    zindagī naqsh unhī zarroñ chaman kaarī

    maut be-mā.egī dāmān-e-zamīñ goyā

    zindagī silsila bādal guhar-bārī

    zindagī qāfila-e-sa.ī paiham tag-o-dau

    maut dam-bhar ke liye vaqfa hai bekārī

    zindagī jise ma.alūm ho matlab us ko

    maut ḳhauf na gardūñ tabah-kārī

    maut ek KHwab hai ajza-e-badan ka hamdam

    zindagi nam hai ehsas ki bedari ka

    maut jis rah-guzar-e-shauq mein rahzan ka naqab

    zindagi raKHt isi rah-e-talab-gari ka

    zindagi jism-o-dil-o-jaan ki munazzam quwwat

    maut izhaar pareshani-o-lachaari ka

    maut sahraon mein bikhre hue zarron ka ghubar

    zindagi naqsh unhi zarron ki chaman kari ka

    maut be-maegi daman-e-zamin ki goya

    zindagi silsila baadal ki guhar-bari ka

    zindagi qafila-e-sai ki paiham tag-o-dau

    maut dam-bhar ke liye waqfa hai bekari ka

    zindagi ka jise malum ho matlab us ko

    maut ka KHauf na gardun ki tabah-kari ka

    Source:

    Dhoop Chhaon (Pg. e-30 p-29)

    • Author: Fazlurrahman
      • Publisher: Aazam Steam Press, Hyderabad

    related content

    Nazm

    maut ke us taraf

    maut ke us taraf

    Asna Badr
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now