Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi

Kaifi Azmi

zindagi

Kaifi Azmi

MORE BYKaifi Azmi

    aaj añdherā mirī nas nas meñ utar jā.egā

    āñkheñ bujh jā.eñgī bujh jā.eñge ehsās o shu.ūr

    aur ye sadiyoñ se jaltā sulagtā vajūd

    is se pahle ki sahar māthe pe shabnam chhiḌke

    is se pahle ki mirī beTī ke vo phuul se haath

    garm ruḳhsār ko ThanDak baḳhsheñ

    is se pahle ki mire beTe mazbūt badan

    tan-e-maflūj meñ shaktī bhar de

    is se pahle ki mirī biivī ke hoñT

    mere hoñToñ tapish jaa.eñ

    raakh ho jā.egā jalte jalte

    aur phir raakh bikhar jā.egī

    zindagī kahne ko be-māya sahī

    ġham sarmāya sahī

    maiñ ne is ke liye kyā kyā na kiyā

    kabhī āsānī se ik saañs bhī yamrāj ko apnā na diyā

    aaj se pahle bahut pahle

    isī āñgan meñ

    dhūp-bhare dāman meñ

    maiñ khaḌā thā mire talvoñ se dhuāñ uThtā thā

    ek be-nām be-rañg ḳhauf

    kachche ehsās pe chhāyā thā ki jal jā.ūñgā

    maiñ pighal jā.ūñgā

    aur pighal kar mirā kamzor ''maiñ''

    qatra qatra mire māthe se Tapak jā.egā

    ro rahā thā magar ashkoñ ke baġhair

    chīḳhtā thā magar āvāz na thī

    maut lahrātī thī sau shakloñ meñ

    maiñ ne har shakl ko ghabrā ke ḳhudā maan liyā

    kaaT ke rakh diye sandal ke pur-asrār daraḳht

    aur patthar se nikālā sho.ala

    aur raushan kiyā apne se baḌā ek alaav

    jānvar zab.h kiye itne ki ḳhuuñ lahreñ

    paañv se uTh ke kamar tak aa.iiñ

    aur kamar se mire sar tak aa.iiñ

    som-ras maiñ ne piyā

    raat din raqs kiyā

    nāchte nāchte talve mire ḳhuuñ dene lage

    mire a.azā thakan

    ban ga.ī kāñpte hoñToñ pe bhajan

    haDDiyāñ merī chaTaḳhne lagīñ īñdhan tarah

    mantar hoñToñ se Tapakne lage roġhan tarah

    ''agnī maatā mirī agnī maatā

    sūkhī lakḌī ke ye bhārī kunde

    jo tirī bheñT ko le aayā huuñ

    un ko svīkār kar aur aise dhadhak

    ki machalte sho.ale khīñch leñ josh meñ

    sūraj sunahrī zulfeñ

    aag meñ aag mile

    jo amar kar de mujhe

    aisā koī raag mile''

    agnī maañ se bhī na jiine sanad jab paa.ī

    zindagī ke na.e imkān ne añgḌā.ī

    aur kānoñ meñ kahīñ duur se āvāz aa.ī

    buddham sharaḌam gachhamī

    dhammam sharaḌam gacchami

    sangham sharaḌam gacchami

    chaar abrū safāyā kar ke

    be-sile vastr se Dhāñpā ye badan

    poñchh ke patnī ke māthe se damaktī biñdiyā

    sote bachchoñ ko binā pyaar kiye

    chal paḌā haath meñ kashkol liye

    chāhtā thā kahīñ bhikshā meñ jīvan mil jaa.e

    jo kabhī band na ho dil ko vo dhaḌkan mil jaa.e

    mujh ko bhikshā meñ magar zahr milā

    hoñT tharrāne lage jaise kare koī gila

    jhuk ke suulī se usī vaqt kisī ne ye kahā

    tere ik gaal pe jis pal koī thappaḌ maare

    dūsrā gaal bhī aage kar de

    terī duniyā meñ bahut hinsā hai

    us ke siine meñ ahinsā bhar de

    ki ye jiine tarīqa bhī hai andāz bhī hai

    terī āvāz bhī hai merī āvāz bhī hai

    maiñ uThā jis ko ahinsā sabaq sikhlāne

    mujh ko laTkā diyā suulī pe usī duniyā ne

    aa rahā thā maiñ ka.ī kūchoñ se Thokar khā kar

    ek āvāz ne rokā mujh ko

    kisī mīnār se nīche aa kar

    allāhu-akbar allāhu-akbar

    huā dil ko ye gumāñ

    ki ye pur-josh azaañ

    maut se degī amaañ

    phir to pahuñchā maiñ jahāñ

    maiñ ne dohrā.ī kuchh aise ye azaañ

    guuñj uThā saarā jahāñ

    allāhu-akbar allāhu-akbar

    isī āvāz meñ ik aur bhī gūñjā elaan

    kullo-man-alaihā-fān

    ik taraf Dhal gayā ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb sar

    huā fālij asar

    phaT ga.ī nas koī shiryānoñ meñ ḳhuuñ jam gayā

    ho gayā zaḳhmī dimāġh

    aisā lagtā thā ki bujh jā.egā jaltā hai jo sadiyoñ se charāġh

    aaj añdherā mirī nas nas meñ utar jā.egā

    ye samundar jo baḌī der se tūfānī thā

    aisā taḌpā ki mire kamre ke andar aayā

    aate aate vo mire vāste amrit laayā

    aur lahrā ke kahā

    shiv ne ye bhejvāyā hai lo piyo aur

    aaj shiv ilm hai amrit hai amal

    ab vo āsāñ hai jo dushvār thā kal

    raat jo maut paiġhām liye aa.ī thī

    biivī bachchoñ ne mire

    us ko khiḌkī se pare pheñk diyā

    aur jo vo zahr ik jaam liye aa.ī thī

    us ne vo ḳhud piyā

    sub.h utrī jo samundar meñ nahāne ke liye

    raat laash milī paanī meñ

    aaj andhera meri nas nas mein utar jaega

    aankhen bujh jaengi bujh jaenge ehsas o shuur

    aur ye sadiyon se jalta sa sulagta sa wajud

    is se pahle ki sahar mathe pe shabnam chhiDke

    is se pahle ki meri beTi ke wo phul se hath

    garm ruKHsar ko ThanDak baKHshen

    is se pahle ki mere beTe ka mazbut badan

    tan-e-mafluj mein shakti bhar de

    is se pahle ki meri biwi ke honT

    mere honTon ki tapish pi jaen

    rakh ho jaega jalte jalte

    aur phir rakh bikhar jaegi

    zindagi kahne ko be-maya sahi

    gham ka sarmaya sahi

    main ne is ke liye kya kya na kiya

    kabhi aasani se ek sans bhi yamraj ko apna na diya

    aaj se pahle bahut pahle

    isi aangan mein

    dhup-bhare daman mein

    main khaDa tha mere talwon se dhuan uThta tha

    ek be-nam sa be-rang sa KHauf

    kachche ehsas pe chhaya tha ki jal jaunga

    main pighal jaunga

    aur pighal kar mera kamzor sa main

    qatra qatra mere mathe se Tapak jaega

    ro raha tha magar ashkon ke baghair

    chiKHta tha magar aawaz na thi

    maut lahraati thi sau shaklon mein

    main ne har shakl ko ghabra ke KHuda man liya

    kaT ke rakh diye sandal ke pur-asrar daraKHt

    aur patthar se nikala shoala

    aur raushan kiya apne se baDa ek alaw

    jaanwar zabh kiye itne ki KHun ki lahren

    panw se uTh ke kamar tak aain

    aur kamar se mere sar tak aain

    som-ras main ne piya

    raat din raqs kiya

    nachte nachte talwe mere KHun dene lage

    mere aaza ki thakan

    ban gai kanpte honTon pe bhajan

    haDDiyan meri chaTaKHne lagin indhan ki tarah

    mantar honTon se Tapakne lage roghan ki tarah

    agni mata meri agni mata

    sukhi lakDi ke ye bhaari kunde

    jo teri bhenT ko le aaya hun

    un ko swikar kar aur aise dhadhak

    ki machalte shoale khinch len josh mein

    suraj ki sunahri zulfen

    aag mein aag mile

    jo amar kar de mujhe

    aisa koi rag mile

    agni man se bhi na jine ki sanad jab pai

    zindagi ke nae imkan ne li angDai

    aur kanon mein kahin dur se aawaz aai

    buddham sharaDam gachhami

    dhammam sharaDam gacchami

    sangham sharaDam gacchami

    chaar abru ka safaya kar ke

    be-sile wastr se Dhanpa ye badan

    ponchh ke patni ke mathe se damakti bindiya

    sote bachchon ko bina pyar kiye

    chal paDa hath mein kashkol liye

    chahta tha kahin bhiksha hi mein jiwan mil jae

    jo kabhi band na ho dil ko wo dhaDkan mil jae

    mujh ko bhiksha mein magar zahr mila

    honT tharrane lage jaise kare koi gila

    jhuk ke suli se usi waqt kisi ne ye kaha

    tere ek gal pe jis pal koi thappaD mare

    dusra gal bhi aage kar de

    teri duniya mein bahut hinsa hai

    us ke sine mein ahinsa bhar de

    ki ye jine ka tariqa bhi hai andaz bhi hai

    teri aawaz bhi hai meri aawaz bhi hai

    main uTha jis ko ahinsa ka sabaq sikhlane

    mujh ko laTka diya suli pe usi duniya ne

    aa raha tha main kai kuchon se Thokar kha kar

    ek aawaz ne roka mujh ko

    kisi minar se niche aa kar

    allahu-akbar allahu-akbar

    hua dil ko ye guman

    ki ye pur-josh azan

    maut se degi aman

    phir to pahuncha main jahan

    main ne dohrai kuchh aise ye azan

    gunj uTha sara jahan

    allahu-akbar allahu-akbar

    isi aawaz mein ek aur bhi gunja elan

    kullo-man-alaiha-fan

    ek taraf Dhal gaya KHurshid-e-jahan-tab ka sar

    hua falij ka asar

    phaT gai nas koi shiryanon mein KHun jam sa gaya

    ho gaya zaKHmi dimagh

    aisa lagta tha ki bujh jaega jalta hai jo sadiyon se charagh

    aaj andhera meri nas nas mein utar jaega

    ye samundar jo baDi der se tufani tha

    aisa taDpa ki mere kamre ke andar aaya

    aate aate wo mere waste amrit laya

    aur lahra ke kaha

    shiw ne ye bhejwaya hai lo piyo aur

    aaj shiw ilm hai amrit hai amal

    ab wo aasan hai jo dushwar tha kal

    raat jo maut ka paigham liye aai thi

    biwi bachchon ne mere

    us ko khiDki se pare phenk diya

    aur jo wo zahr ka ek jam liye aai thi

    us ne wo KHud hi piya

    subh utri jo samundar mein nahane ke liye

    raat ki lash mili pani mein

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Kaifi Azmi

    Kaifi Azmi

    Source:

    Azadi Ke Bad Urdu Nazam (Pg. 289)

    • Author: Shamim Hanfi and Mazhar Mahdi
      • Edition: 2005
      • Publisher: qaumi council baraye-farogh urdu
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now