Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi ke darwaze par

Akhtarul Iman

zindagi ke darwaze par

Akhtarul Iman

MORE BYAkhtarul Iman

    pā-barhana-o-sarāsima ik jamm-e-ġhafīr

    apne hāthoñ meñ liye mash.al-e-be-sho.ala-o-dūd

    muztarib ho ke gharoñdoñ se nikal aayā hai

    jaise ab toḌ Dālegā ye barsoñ jumūd

    un papoToñ meñ ye pathrā.ī huī āñkheñ

    jin meñ fardā koī ḳhvāb ujāgar nahīñ

    kaise DhūñDeñgī dar-zīst kahāñ DhūñDeñgī

    un ko vo tishnagī-e-shauq mayassar nahīñ

    jaise sadiyoñ ke chaTānoñ pe tarāshe hue but

    ek dīvāne musavvir tabī.at ubaal

    nāchte nāchte ġhāroñ se nikal aa.e hoñ

    aur vāpas inhīñ ġhāroñ meñ ho jaane ḳhayāl

    zindagī apne darīchoñ meñ hai mushtāq abhī

    aur ye raqs-e-tilismāna ke rañgīñ saa.e

    us nazroñ ko diye jaate haiñ paiham dhoke

    jaise bas aañkh jhapakne meñ vo uḌ kar aa.e

    shahpar-e-maut kisī ġhūl-e-bayābāñ tarah

    qahqahe bhartā hai ḳhāmosh fazāoñ meñ sadā

    kāñpte kāñpte ik baar simaT jaatī hai

    ek tārīk parda yūñhī āvezāñ rahā

    koī darvāze pe dastak hai na qadmoñ nishāñ

    chand pur-haul se asrār tah-e-sāya-e-dar

    ḳhud sargoshiyāñ karte haiñ koī jaise kahe

    phir palaT aa.e ye kam-baḳht vahī shām-o-sahar

    nāchtā rahtā hai darvāze ke bāhar ye hujūm

    apne hāthoñ meñ liye mash.al-e-be-sho.ala-o-dūd

    zindagī apne darīchoñ meñ hai mushtāq abhī

    kyā ḳhabar toḌ de baḌh ke koī qufl-e-jumūd

    pa-barhana-o-sarasima sa ek jamm-e-ghafir

    apne hathon mein liye mashal-e-be-shoala-o-dud

    muztarib ho ke gharondon se nikal aaya hai

    jaise ab toD hi Dalega ye barson ka jumud

    un papoTon mein ye pathrai hui si aankhen

    jin mein farda ka koi KHwab ujagar hi nahin

    kaise DhunDengi dar-zist kahan DhunDengi

    un ko wo tishnagi-e-shauq mayassar hi nahin

    jaise sadiyon ke chaTanon pe tarashe hue but

    ek diwane musawwir ki tabiat ka ubaal

    nachte nachte ghaaron se nikal aae hon

    aur wapas inhin ghaaron mein ho jaane ka KHayal

    zindagi apne darichon mein hai mushtaq abhi

    aur ye raqs-e-tilismana ke rangin sae

    us ki nazron ko diye jate hain paiham dhoke

    jaise bas aankh jhapakne mein wo uD kar aae

    shahpar-e-maut kisi ghul-e-bayaban ki tarah

    qahqahe bharta hai KHamosh fazaon mein sada

    kanpte kanpte ek bar simaT jati hai

    ek tarik sa parda yunhi aawezan raha

    koi darwaze pe dastak hai na qadmon ka nishan

    chand pur-haul se asrar tah-e-saya-e-dar

    KHud hi sargoshiyan karte hain koi jaise kahe

    phir palaT aae ye kam-baKHt wahi sham-o-sahar

    nachta rahta hai darwaze ke bahar ye hujum

    apne hathon mein liye mashal-e-be-shoala-o-dud

    zindagi apne darichon mein hai mushtaq abhi

    kya KHabar toD hi de baDh ke koi qufl-e-jumud

    Source:

    Kulliyat-e-Akhtaruliman (Pg. 85)

    • Author: Baidar Bakht
      • Edition: 2006
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now