zindagi-nama
kyā nahīñ mā'lūm kyā hai zindagī
dosto āb-e-baqā hai zindagī
jehd-e-paiham kā sila hai zindagī
aadmī kā mudda'ā hai zindagī
fikr-o-fan kā rābta hai zindagī
husn hai 'ishq-o-vafā hai zindagī
chalte haiñ kyoñ log bal khāte hue
ek sīdhā rāsta hai zindagī
marg kaisī aur kahāñ kā iḳhtitām
ibtidā nā intihā hai zindagī
aadmī soche samajh le dekh le
ik anokhā falsafa hai zindagī
jab nazar aatā hai koī dīda-var
sab pukār uThte haiñ kyā hai zindagī
zindagī hai ek nāzuk imtihāñ
ek mushkil marhala hai zindagī
hai payām-e-zīst saaqī kī navā
ek shā'ir kī sadā hai zindagī
kya nahin ma'lum kya hai zindagi
dosto aab-e-baqa hai zindagi
jehd-e-paiham ka sila hai zindagi
aadmi ka mudda'a hai zindagi
fikr-o-fan ka rabta hai zindagi
husn hai 'ishq-o-wafa hai zindagi
chalte hain kyon log bal khate hue
ek sidha rasta hai zindagi
marg kaisi aur kahan ka iKHtitam
ibtida na intiha hai zindagi
aadmi soche samajh le dekh le
ek anokha falsafa hai zindagi
jab nazar aata hai koi dida-war
sab pukar uThte hain kya hai zindagi
zindagi hai ek nazuk imtihan
ek mushkil marhala hai zindagi
hai payam-e-zist saqi ki nawa
ek sha'ir ki sada hai zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.