zindagi
pūchh baiThā pūchhne vaalā ki kyā hai zindagī
shoḳhī-e-gul ne kahā bād-e-sabā hai zindagī
ek titlī ne kahā husn-o-adā hai zindagī
mast-o-be-ḳhud hañs ke bolā mai-kada hai zindagī
husn kā shaidā kahe gul kī adā hai zindagī
ek dul.han ne kahā rang-e-hinā hai zindagī
ek 'āshiq ne kahā ik dilrubā hai zindagī
ik mufakkir ne kahā qaa.em sadā hai zindagī
ek shā'ir ne kahā soz-e-navā hai zindagī
ek birhan ro ke bolī bevafā hai zindagī
ek ahl-e-fan kahe āb-e-baqā hai zindagī
ek momin ne kahā qurb-e-ḳhudā hai zindagī
ek jābir ne kahā jaur-o-jafā hai zindagī
tālib-e-sarvat kahe paisa Takā hai zindagī
ek bhūke ne kahā vāfir ġhizā hai zindagī
ik mujāhid ne kahā nāz-e-viġhā hai zindagī
qaul-e-ḳhud-sar thā ki tāqat kā nasha hai zindagī
ik qarīb-ul-marg bolā ḳhvāb sā hai zindagī
sab kī sun kar faisla us ne diyā hai zindagī
rū-barū jis ke jo ruḳh aayā lagā hai zindagī
ranj-o-rāhat meñ sabhī kī kaT to jaatī hai magar
jo jiyā har haal meñ ḳhush vo jiyā hai zindagī
puchh baiTha puchhne wala ki kya hai zindagi
shoKHi-e-gul ne kaha baad-e-saba hai zindagi
ek titli ne kaha husn-o-ada hai zindagi
mast-o-be-KHud hans ke bola mai-kada hai zindagi
husn ka shaida kahe gul ki ada hai zindagi
ek dulhan ne kaha rang-e-hina hai zindagi
ek 'ashiq ne kaha ek dilruba hai zindagi
ek mufakkir ne kaha qaem sada hai zindagi
ek sha'ir ne kaha soz-e-nawa hai zindagi
ek birhan ro ke boli bewafa hai zindagi
ek ahl-e-fan kahe aab-e-baqa hai zindagi
ek momin ne kaha qurb-e-KHuda hai zindagi
ek jabir ne kaha jaur-o-jafa hai zindagi
talib-e-sarwat kahe paisa Taka hai zindagi
ek bhuke ne kaha wafir ghiza hai zindagi
ek mujahid ne kaha naz-e-wigha hai zindagi
qaul-e-KHud-sar tha ki taqat ka nasha hai zindagi
ek qarib-ul-marg bola KHwab sa hai zindagi
sab ki sun kar faisla us ne diya hai zindagi
ru-baru jis ke jo ruKH aaya laga hai zindagi
ranj-o-rahat mein sabhi ki kaT to jati hai magar
jo jiya har haal mein KHush wo jiya hai zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.