Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi siTiyan bajati hai

Zain Abbas

zindagi siTiyan bajati hai

Zain Abbas

MORE BYZain Abbas

    ye sāñsoñ ke chalne ko kyoñ zindagī alāmat kahā hai

    ye sāñseñ to muflis bhī chal rahī haiñ

    ġharībī ke sho.ale nigalnā

    aur is saañs ḳhasta rassī pe chalnā

    agar merī koī karāmat nahīñ hai

    to maiñ sāl-hā-sāl se ek kartab kiye rahā huuñ

    ye sab ek circus hai aur kuchh nahīñ hai

    ki jis meñ faqat maiñ ġharībī ke sho.ale nigaltā huā saañs ḳhasta rassī pe chaltā huā ik tamāshā banā huuñ

    jise dekh kar zindagī sīTiyāñ ab bajāne lagī hai

    azal se ye dastūr qaa.em huā hai

    ki muflis aulād bhī muflisī kāTtī hai

    chalo ab ye dastūr toḌ Dāleñ

    vo yuuñ baḌbaḌāyā

    to phir us ne ḳhanjar se apne ġharībī ke iklaute vāris sāñsoñ rassī ko kaaT Daalā

    vo ḳhush thā

    ki ab us laḳht-e-jigar

    muflisī aziyyat se āzād yuuñ ho gayā hai

    ki jaise kisī qaid se koī panchhī

    to faaqe ke dhāgoñ meñ uljhe badan achānak se āñkhoñ ke parde haTe

    aur vo ālam-e-ḳhvāb se jaag uTThā

    to us nigāhoñ ne apne ġharībī ke iklaute vāris ko dekhā

    to rone lagā vo

    ki us tarah us ġhurbat vāris ġharībī ke sho.ale nigaltā huā saañs ḳhasta rassī pe chalne lagā hai

    vo bhī ek circus joker banā hai

    jise dekh kar zindagī sīTiyāñ phir bajāne lagī hai

    ye sanson ke chalne ko kyon zindagi ki alamat kaha hai

    ye sansen to muflis ki bhi chal rahi hain

    gharibi ke shoale nigalna

    aur is sans ki KHasta rassi pe chalna

    agar meri koi karamat nahin hai

    to main sal-ha-sal se ek kartab kiye ja raha hun

    ye sab ek circus hai aur kuchh nahin hai

    ki jis mein faqat main gharibi ke shoale nigalta hua sans ki KHasta rassi pe chalta hua ek tamasha bana hun

    jise dekh kar zindagi siTiyan ab bajaane lagi hai

    azal se ye dastur qaem hua hai

    ki muflis ki aulad bhi muflisi kaTti hai

    chalo ab ye dastur hi toD Dalen

    wo yun baDbaDaya

    to phir us ne KHanjar se apne gharibi ke iklaute waris ki sanson ki rassi ko hi kaT Dala

    wo KHush tha

    ki ab us ka laKHt-e-jigar

    muflisi ki aziyyat se aazad yun ho gaya hai

    ki jaise kisi qaid se koi panchhi

    to faqe ke dhagon mein uljhe badan ki achanak se aankhon ke parde haTe

    aur wo aalam-e-KHwab se jag uTTha

    to us ki nigahon ne apne gharibi ke iklaute waris ko dekha

    to rone laga wo

    ki us ki tarah us ki ghurbat ka waris gharibi ke shoale nigalta hua sans ki KHasta rassi pe chalne laga hai

    wo bhi ek circus ka joker bana hai

    jise dekh kar zindagi siTiyan phir bajaane lagi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now