zindagi tere nakaam logon ne
zindagī tere nākām logoñ ne
to mushkiloñ se hamesha guzārā kiyā
regzāroñ meñ baiThe sulagte hue
ḳhvāb bunte rahe dard chunte rahe
dil ke pāgal suroñ par udāsī ke hī giit sunte rahe
sar ko dhunte rahe
giit gaate hue zaḳhm bunte hue ḳhvāb chunte hue
dasht-dar-dasht jīvan kī gaThrī uThā.e hī chalte rahe
saañs kī dhoñknī yuuñ hī chaltī rahī
kuchh ḳhabar hī nahīñ ho sakī thī ki kab sar pe shaam aa ga.ī
zindagī tere baare meñ ab kyā kahūñ
kis ke hisse meñ aane kī ḳhvāhish huī
kis ke kaam aa ga.ī
zindagi tere nakaam logon ne
to mushkilon se hamesha guzara kiya
regzaron mein baiThe sulagte hue
KHwab bunte rahe dard chunte rahe
dil ke pagal suron par udasi ke hi git sunte rahe
sar ko dhunte rahe
git gate hue zaKHm bunte hue KHwab chunte hue
dasht-dar-dasht jiwan ki gaThri uThae hi chalte rahe
sans ki dhonkni yun hi chalti rahi
kuchh KHabar hi nahin ho saki thi ki kab sar pe sham aa gai
zindagi tere bare mein ab kya kahun
kis ke hisse mein aane ki KHwahish hui
kis ke kaam aa gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.