Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi

MORE BYSyed Wahidudeen Salim

    zarre zarre meñ davāñ rūh-o-ruvāñ paatā huuñ maiñ

    zindagī ko ek bahr-e-be-karāñ paatā huuñ maiñ

    ġhuncha ġhuncha nutq par āmāda aatā hai nazar

    patte patte zabāñ ko naġhma-ḳhvāñ paatā huuñ maiñ

    zinda hastī ḳhabar detī hai raftār-e-nafas

    bū-e-gul ko zindagī tarjumāñ paatā huuñ maiñ

    barq jumbish ho bād-e-sabā ho ḳhirām

    zindagī har tamavvuj meñ nishāñ paatā huuñ maiñ

    us se aage bhī haiñ rūheñ uḌtī phirtī be-shumār

    tā.er-e-sidra jis āshiyāñ paatā huuñ maiñ

    ho chukī hai hukmarāñ jis naḳhl par bād-e-ḳhizāñ

    us rag rag meñ bahār-e-be-ḳhizāñ paatā huuñ maiñ

    chār-sū rāh-e-safar par dauḌtī hai jab nazar

    zindagī ko kārvāñ-dar-kārvāñ paatā huuñ maiñ

    jaane vāloñ tabāhī ke nishānoñ meñ nihāñ

    aane vaalī hastiyoñ bastiyāñ paatā huuñ maiñ

    al-ġharaz samjhe ho jin ko maut barbādiyāñ

    zindagī ke inqalāb an meñ nihāñ paatā huuñ maiñ

    zarre zarre mein dawan ruh-o-ruwan pata hun main

    zindagi ko ek bahr-e-be-karan pata hun main

    ghuncha ghuncha nutq par aamada aata hai nazar

    patte patte ki zaban ko naghma-KHwan pata hun main

    zinda hasti ki KHabar deti hai raftar-e-nafas

    bu-e-gul ko zindagi ka tarjuman pata hun main

    barq ki jumbish ho ya baad-e-saba ka ho KHiram

    zindagi ka har tamawwuj mein nishan pata hun main

    us se aage bhi hain ruhen uDti phirti be-shumar

    taer-e-sidra ka jis ja aashiyan pata hun main

    ho chuki hai hukmaran jis naKHl par baad-e-KHizan

    us ki rag rag mein bahaar-e-be-KHizan pata hun main

    chaar-su rah-e-safar par dauDti hai jab nazar

    zindagi ko karwan-dar-karwan pata hun main

    jaane walon ki tabahi ke nishanon mein nihan

    aane wali hastiyon ki bastiyan pata hun main

    al-gharaz samjhe ho jin ko maut ki barbaadiyan

    zindagi ke inqalab an mein nihan pata hun main

    Source:

    Jadeed Shora.e Urdu (Pg. 146)

    • Author: Dr. Abdul Vaheed
      • Publisher: Firoz sons Printers Publishers Book sales
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now