Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi

MORE BYMomin Khan Shauq

    zindagī ḳhvāb ik suhānā hai

    zindagī dard fasāna hai

    zindagī ranj-o-ġham lamha bhī

    zindagī hai nashāt-o-naġhma bhī

    zindagī sher-o-naġhmagī ḳhumār

    zindagī kaif-o-sarḳhushī bahār

    zindagī naqsh-e-nā-murādī bhī

    zindagī raqs bhī hai shādī bhī

    zindagī phuul hai kabhī hai ḳhaar

    taḳht-e-shāhī hai aur kabhī hai daar

    saat rangoñ ye nagīna hai

    zindagī be-bahā ḳhazīna hai

    qadr jo ranj-o-ġham jānegā

    'shauq' vo zindagī ko mānegā

    zindagi KHwab ek suhana hai

    zindagi dard ka fasana hai

    zindagi ranj-o-gham ka lamha bhi

    zindagi hai nashat-o-naghma bhi

    zindagi sher-o-naghmagi ka KHumar

    zindagi kaif-o-sarKHushi ki bahaar

    zindagi naqsh-e-na-muradi bhi

    zindagi raqs bhi hai shadi bhi

    zindagi phul hai kabhi hai KHar

    taKHt-e-shahi hai aur kabhi hai dar

    sat rangon ka ye nagina hai

    zindagi be-baha KHazina hai

    qadr jo ranj-o-gham ki jaanega

    'shauq' wo zindagi ko manega

    Source:

    Nishat-e-Aarzu (Pg. 83)

    • Author: Momin Khan Shauq
      • Publisher: Ejaz Printing Press, Hyderabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now