aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
kyuuñ rātoñ kā jāgiye kar ke us ko yaad
patthar dil par kab asar kartī hai fariyād
kyun raaton ka jagiye kar ke us ko yaad
patthar dil par kab asar karti hai fariyaad
achchhā hai ki lagā nahīñ unheñ pyaar kā rog
aate aate ā.eñge raah pe agle log
achchha hai ki laga nahin unhen pyar ka rog
aate aate aaenge rah pe agle log
barfīlī chaTTān par peḌ khaḌā muskā.e
saarā mausam sard hai jism aag barsā.e
barfili chaTTan par peD khaDa muskae
sara mausam sard hai jism aag barsae
paa.el kabhī na khol de sājan dil kā raaz
duur duur tak jā.egī ghuñghrū kī āvāz
pael kabhi na khol de sajan dil ka raaz
dur dur tak jaegi ghunghru ki aawaz
suune sab raste paḌe hue thakan se chuur
'rāhī' kaun batā.egā manzil kitnī duur
sune sab raste paDe hue thakan se chur
'rahi' kaun bataega manzil kitni dur
Sign up and enjoy FREE unlimited access to a whole Universe of Urdu Poetry, Language Learning, Sufi Mysticism, Rare Texts
Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books