Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ahmad Jahangir's Photo'

Ahmad Jahangir

1980 | Karachi, Pakistan

Sher of Ahmad Jahangir

ek taraf kuchh hoñT mohabbat raushan āyāt paḌheñ

ik saf meñ hathiyār sajā.e saare jañg-parast raheñ

ek taraf kuchh honT mohabbat ki raushan aayat paDhen

ek saf mein hathiyar sajae sare jang-parast rahen

ham faqīroñ meñ raaja chaukī chaḌhe kāhinoñ meñ payambar pukāre ga.e

din nikalne bhī vāqi.a hai koī abhī tak dharī dharī raat hai

hum faqiron mein raja ki chauki chaDhe kahinon mein payambar pukare gae

din nikalne ka bhi waqia hai koi ya abhi tak dhari ki dhari raat hai

chand ghanToñ meñ sūraj nikal aa.egā tab ye ziina utar kar chalī jā.iyo

zindagī dekh aage bayābān hai sham.a gul ho ga.ī ruk arī raat hai

chand ghanTon mein suraj nikal aaega tab ye zina utar kar chali jaiyo

zindagi dekh aage bayaban hai shama gul ho gai ruk ari raat hai

kaifiyat ke ishāre pe tasvīr meñ chand rangoñ tartīb badlī ga.ī

āsmāñ zard hai aur zamīñ nīlgūñ chand kaale shajar ik harī raat hai

kaifiyat ke ishaare pe taswir mein chand rangon ki tartib badli gai

aasman zard hai aur zamin nilgun chand kale shajar ek hari raat hai

āsmānī bashārat se dahkā huā ḳhvān utre to māhaul tabdīl ho

ḳhāk-rūboñ bastī meñ girya-kunāñ kuchh dinoñ se nahūsat bharī raat hai

aasmani bashaarat se dahka hua KHwan utre to mahaul tabdil ho

KHak-rubon ki basti mein girya-kunan kuchh dinon se nahusat bhari raat hai

āfrīnash ke hafte meñ chhe roz tak ek tasvīr paiham banā.ī ga.ī

din ziyā-sāz hāthoñ se zāhir huā aur musavvir kārīgarī raat hai

aafrinash ke hafte mein chhe roz tak ek taswir paiham banai gai

din ziya-saz hathon se zahir hua aur musawwir ki karigari raat hai

taar kas kar koī rāgnī chheḌ de ai tavā.if aziyyat bharī raat hai

jāntī hai sarā.e har ūñTnī is musāfir ye āḳhirī raat hai

tar kas kar koi ragni chheD de ai tawaif aziyyat bhari raat hai

jaanti hai sarae ki har unTni is musafir ki ye aaKHiri raat hai

das moharram fāqa-shikan asr sar jhukā.e hue baiTh kar sochnā

chand phūloñ meñ lipTī huī fajr thī kuchh charāġhoñ nauhagarī raat hai

das moharram ki faqa-shikan asr ka sar jhukae hue baiTh kar sochna

chand phulon mein lipTi hui fajr thi kuchh charaghon ki nauhagari raat hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now