Quotes of Asif Farrukhi
Urdu afsaane mein kaar-kardagi ka me'yaar Manto, Ismat, Bedi, Krishna rahe hain. Urdu afsaane ke chaar ikke... in chaar badon ki bartari musallam. Maine apni kahaani ko unke saanche mein nahi dhaala ki main turup ka patta hoon, jiske rang par chaal aa jaaye to kya begi kya badshah.

Zindagi utni aasaan nahi jitna kheton se guzarana. Aur kahaaniyaan kahna bhi utna aasaan nahi jaise dhoop mein khelte bachche.

Maine itni kahaaniyaan suni hain ki apna aap bhi kahaani lagta hai.

Adab mein nuqta-e-nazar ka mas'ala mere liye deen ki si haisiyat rakhta hai.

Kahaani kabhi haasil hoti hai, kabhi haasil ki jaati hai, kabhi sadak par pade hue heere ki tarah mil jaati hai.

Fiction ki maa'nviyat ka bada hissa to un rishton mein hota hai jo musannif ko ashyaa ke darmiyan nazar aate hain.

Puraane zamaane mein dastoor tha ki kaarwaan ke peeche eik aadmi chalta tha jiske zimme ye dekhna-bhaalna tha ki qaafile waalon ki koi cheez giri rah jaaye ya qaafile se koi bichhad jaaye to ye uthaata jaaye. Main Urdu afsaane mein yahi kaam kar raha hoon. Sadak ke kinaare baith kar kaudiyon ke mol heere bechta hoon aur aatish-fishaan par gulaab ugaata hoon.