Sher of Asim Bukhari
zar zamīñ to na thī muqaddar meñ
us ne virse meñ dushmanī paa.ī
zar zamin to na thi muqaddar mein
us ne wirse mein dushmani pai
gila us se hameñ 'āsim-buḳhārī’
gila jis kā kisī se ho to kaise
gila us se hamein 'asim-buKHari’
gila jis ka kisi se ho to kaise
ye daulat nahīñ yuuñ luTāne ke qābil
kifāyat-shi’ārī se lafzoñ ko barto
ye daulat nahin yun luTane ke qabil
kifayat-shi’ari se lafzon ko barto
-
Tag : Conversation
jī rahā huuñ is tarah maiñ dosto
jis tarah do shādiyoñ vaalā koī
ji raha hun is tarah main dosto
jis tarah do shadiyon wala koi
cell phone aap kab chalāte haiñ
cell phone aap ko chalātā hai
cell phone aap kab chalate hain
cell phone aap ko chalata hai
'amal meñ thā baḌā iḳhlās 'āsim'
ki jab ye media social nahīñ thā
'amal mein tha baDa iKHlas 'asim'
ki jab ye media social nahin tha
pahle ik aadh koī letā thā
rishvat ik aadh ab nahīñ letā
pahle ek aadh koi leta tha
rishwat ek aadh ab nahin leta
silsila imdād kā jaarī rahā
on jab tak camere saare rahe
silsila imdad ka jari raha
on jab tak camere sare rahe
ghar meñ muñh haath bhī nahīñ dhotī
shahr jaatī hai ban-sañvar ke vo
ghar mein munh hath bhi nahin dhoti
shahr jati hai ban-sanwar ke wo
hoTeloñ meñ 'ajīb ho tum bhī
DhūñDte ho sukūn ghar vaalā
hoTelon mein 'ajib ho tum bhi
DhunDte ho sukun ghar wala
jab bhī maiñ un kī samt baḌhtā huuñ
bhāgte haiñ pahāḌ kyuuñ mujh se
jab bhi main un ki samt baDhta hun
bhagte hain pahaD kyun mujh se