Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Aziz Hyderabadi

1873/74 - 1949

Sher of Aziz Hyderabadi

2.2K
Favorite

SORT BY

ārām apne bas hai bas maiñ nahīñ hai kiyā

gulshan meñ kyā dharā hai qafas meñ nahīñ hai kyā

aaram apne bas ka hai bas main nahin hai kiya

gulshan mein kya dhara hai qafas mein nahin hai kya

dil Thikāne ho to sab kuchh hai aziiz

bahal jaatā hai sahrā kyuuñ na ho

dil Thikane ho to sab kuchh hai aziz

ji bahal jata hai sahra kyun na ho

ham ko sambhāltā koī kyā rāh-e-ishq meñ

khā khā ke Thokareñ hamīñ āḳhir sambhal ga.e

hum ko sambhaalta koi kya rah-e-ishq mein

kha kha ke Thokaren hamin aaKHir sambhal gae

dam-e-takallum kisī ke aage ham apne dil ko bhī dete hauke

milāte chun chun ke lafz aise savāl goyā javāb hotā

dam-e-takallum kisi ke aage hum apne dil ko bhi dete hauke

milate chun chun ke lafz aise sawal goya jawab hota

dhaḌakte hue dil ke ham-rāh mere

mirī nabz bhī chāra-gar dekh lete

dhaDakte hue dil ke ham-rah mere

meri nabz bhi chaara-gar dekh lete

āñkhoñ meñ tirī shakl hai dil meñ hai tirī yaad

aa.e bhī to kis shaan se furqat ke din aa.e

aankhon mein teri shakl hai dil mein hai teri yaad

aae bhi to kis shan se furqat ke din aae

nasrīñ meñ ye mahak hai na ye nastaran meñ hai

bū-e-gul-e-murād tire pairahan meñ hai

nasrin mein ye mahak hai na ye nastaran mein hai

bu-e-gul-e-murad tere pairahan mein hai

dard sahne ke liye sadme uThāne ke liye

un se dil apnā mujhe vāpas talab karnā paḌā

dard sahne ke liye sadme uThane ke liye

un se dil apna mujhe wapas talab karna paDa

abhī kuchh hai abhī kuchh hai abhī kuchh

tirī kāfir-nazar kyā jaane kyā hai

abhi kuchh hai abhi kuchh hai abhi kuchh

teri kafir-nazar kya jaane kya hai

ayaañ nihāñ ik nazar dekh lete

kisī sūrat un ko magar dekh lete

ayan ya nihan ek nazar dekh lete

kisi surat un ko magar dekh lete

vo abr ghirā jhuum ke rahmat ke din aa.e

piine ke pilāne ke masarrat ke din aa.e

wo abr ghira jhum ke rahmat ke din aae

pine ke pilane ke masarrat ke din aae

zor qismat pe chal nahīñ saktā

ḳhāmushī iḳhtiyār kartā huuñ

zor qismat pe chal nahin sakta

KHamushi iKHtiyar karta hun

duniyā ravish dekhī tirī zulf-e-dotā meñ

bantī hai ye mushkil se bigaḌtī hai zarā meñ

duniya ki rawish dekhi teri zulf-e-dota mein

banti hai ye mushkil se bigaDti hai zara mein

gin rahā huuñ harf un ke ahd ke

mujh ko dhokā de rahī hai yaad kyā

gin raha hun harf un ke ahd ke

mujh ko dhoka de rahi hai yaad kya

us ne sun kar baat merī Taal

uljhanoñ meñ aur uljhan Daal

us ne sun kar baat meri Tal di

uljhanon mein aur uljhan Dal di

naale haiñ na aa.heñ haiñ na ronā na taḌapnā

be-ḳhud huuñ tirī yaad meñ fursat ke din aa.e

nale hain na aahen hain na rona na taDapna

be-KHud hun teri yaad mein fursat ke din aae

mushkil hai imtiyāz-e-azāb-o-savāb meñ

piitā huuñ maiñ sharāb milā kar gulāb meñ

mushkil hai imtiyaz-e-azab-o-sawab mein

pita hun main sharab mila kar gulab mein

bahut kuchh dekhnā hai aage aage

abhī dil ne mire dekhā kyā hai

bahut kuchh dekhna hai aage aage

abhi dil ne mere dekha hi kya hai

vo suneñ na suneñ nāla-o-fariyād 'azīz'

aap hargiz na kareñ tark taqāzā apnā

wo sunen ya na sunen nala-o-fariyaad 'aziz'

aap hargiz na karen tark taqaza apna

husn hai dād-e-ḳhudā ishq hai imdād-e-ḳhudā

ġhair daḳhl nahīñ baḳht hai apnā apnā

husn hai dad-e-KHuda ishq hai imdad-e-KHuda

ghair ka daKHl nahin baKHt hai apna apna

shīshe khule nahīñ abhī sāġhar chale nahīñ

uḌne lagī parī tarah sharāb

shishe khule nahin abhi saghar chale nahin

uDne lagi pari ki tarah bu sharab ki

vo ye kah kar daaġh dete haiñ mujhe

phuul se pahle samar aate nahīñ

wo ye kah kar dagh dete hain mujhe

phul se pahle samar aate nahin

dekhtā huuñ un sūrat dekh kar

dhuup meñ taare nazar aate haiñ mujhe

dekhta hun un ki surat dekh kar

dhup mein tare nazar aate hain mujhe

sohbat-e-ġhair se bachiye bachiye

dekhiye dekhiye rusvā.ī hai

sohbat-e-ghair se bachiye bachiye

dekhiye dekhiye ruswai hai

koī rusvā koī saudā.ī hai

ik jahāñ aap shaidā.ī hai

koi ruswa koi saudai hai

ek jahan aap ka shaidai hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now