Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Azizunnisa Naz

1932 - 2008 | Karachi, Pakistan

Sher of Azizunnisa Naz

kitne lage haiñ zaḳhm jigar par kise ḳhabar

Dhaa.ī hai kis ne kitnī qayāmat na pūchhiye

kitne lage hain zaKHm jigar par kise KHabar

Dhai hai kis ne kitni qayamat na puchhiye

ashkoñ ne raaz dil kiyā jab kabhī ayaañ

kitnī huī hai mujh ko nadāmat na pūchhiye

ashkon ne raaz dil ka kiya jab kabhi ayan

kitni hui hai mujh ko nadamat na puchhiye

ranj-o-alam koī haqīqat na pūchhiye

kitnī hai mere dard azmat na pūchhiye

ranj-o-alam ki koi haqiqat na puchhiye

kitni hai mere dard ki azmat na puchhiye

ab to hai sirf āmad-e-fasl-e-bahār yaad

dil ek phuul thā jo sar-e-shāḳh jal gayā

ab to hai sirf aamad-e-fasl-e-bahaar yaad

dil ek phul tha jo sar-e-shaKH jal gaya

jab dil dard manzil-e-shab se nikal gayā

mahsūs ye huā koī tūfān Tal gayā

jab dil ka dard manzil-e-shab se nikal gaya

mahsus ye hua koi tufan Tal gaya

jab tak kisī naqsh-e-kaf-e-pā hameñ milā

ham se kuchh aur duur zamāna nikal gayā

jab tak kisi ka naqsh-e-kaf-e-pa hamein mila

hum se kuchh aur dur zamana nikal gaya

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now