Sher of betakalluf shaajapuri
phuul jaate haiñ zarā sī baat par
kyā chane kī daal jaise log haiñ
phul jate hain zara si baat par
kya chane ki dal jaise log hain
har chiiz mere ghar kī āshiq huī hai tujh par
detī hai merī murġhī anDe tirī galī meñ
har chiz mere ghar ki aashiq hui hai tujh par
deti hai meri murghi anDe teri gali mein
ik raat dekh lenā elān-e-jang hogā
gaaḌe haiñ āshiqoñ ne jhanDe tirī galī meñ
ek raat dekh lena elan-e-jang hoga
gaDe hain aashiqon ne jhanDe teri gali mein
haiñ munne kī ammā kī pakkī sahelī
shakūran ġhafūran vaġhaira vaġhaira
hain munne ki amma ki pakki saheli
shakuran ghafuran waghaira waghaira
har ustād shā.ir ke ghar meñ mileñge
ye har day ye chūran vaġhaira vaġhaira
har ustad shair ke ghar mein milenge
ye har day ye churan waghaira waghaira