Dr. Naresh's Photo'

Dr. Naresh

1942 | Panchkula, India

aa.e muTThī band liye chal diye haath pasār

vo kyā thā jo luT gayā dekho soch-bichār

aae muTThi band liye chal diye hath pasar

wo kya tha jo luT gaya dekho soch-bichaar

jab tak us se duur thī mere the sau rañg

us ke rañg meñ rañg ga.ī jab laagī sañg

jab tak us se dur thi mere the sau rang

us ke rang mein rang gai jab lagi pi sang

gul do-pahrī phuul le jab tak phailī dhuup

pūchheñge ab shaam ko kahāñ gayā vo ruup

gul do-pahri phul le jab tak phaili dhup

puchhenge ab sham ko kahan gaya wo rup

kaise paanī meñ likhūñ yahāñ kushal sab bhāñt

jab se bichhḌī aap se bichhaḌ ga.e sukh shānt

kaise pani mein likhun yahan kushal sab bhant

jab se bichhDi aap se bichhaD gae sukh shant