Farooq Shamim
Ghazal 6
Sher-o-Shayari 7
apne hī fan kī aag meñ jalte rahe 'shamīm'
hoñToñ pe sab ke hausla-afzā.ī rah ga.ī
apne hi fan ki aag mein jalte rahe 'shamim'
honTon pe sab ke hausla-afzai rah gai
-
Share this
- See Ghazal
haiñ raakh raakh magar aaj tak nahīñ bikhre
kaho havā se hamārī misāl le aa.e
hain rakh rakh magar aaj tak nahin bikhre
kaho hawa se hamari misal le aae
-
Share this
- See Ghazal
har ek lafz meñ poshīda ik alaao na rakh
hai dostī to takalluf kā rakh-rakhāo na rakh
TRANSLATION
In every word, do not keep a furnace hidden,
If you’re a friend, leave aside the formalities then.
Sagar Akbarabadi
har ek lafz mein poshida ek alao na rakh
hai dosti to takalluf ka rakh-rakhao na rakh
TRANSLATION
In every word, do not keep a furnace hidden,
If you’re a friend, leave aside the formalities then.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
hisār-e-zāt se kaT kar to jī nahīñ sakte
bhañvar kī zad se yuuñ mahfūz apnī naav na rakh
hisar-e-zat se kaT kar to ji nahin sakte
bhanwar ki zad se yun mahfuz apni naw na rakh
-
Share this
- See Ghazal
vaqt ik mauj hai aatā hai guzar jaatā hai
Duub jaate haiñ jo lamhāt ubharte kab haiñ
waqt ek mauj hai aata hai guzar jata hai
Dub jate hain jo lamhat ubharte kab hain
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 1
silsile KHvaab ke ashko.n se sa.nvarte kab hai.n aaj dariyaa bhii samundar me.n utarte kab hai.n vaqt ik mauj hai aataa hai guzar jaataa hai Duub jaate hai.n jo lamhaat ubharte kab hai.n yuu.n bhii lagtaa hai tirii yaad bahut hai lekin zaKHm ye dil ke tirii yaad se bharte kab hai.n lahar ke saamne saahil kii haqiiqat kyaa hai jin ko jiinaa hai vo haalaat se Darte kab hai.n ye alag baat hai lahje me.n udaasii hai 'shamiim' varna ham dard kaa iz.haar bhii karte kab hai.n