Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Gauhar Hoshiyarpuri's Photo'

Gauhar Hoshiyarpuri

1930 - 2000

Sher of Gauhar Hoshiyarpuri

naav na Duubī dariyā meñ

naav meñ dariyā Duub gayā

naw na Dubi dariya mein

naw mein dariya Dub gaya

phūloñ meñ vahī to phuul Thahrā

jo tere salām ko khilā ho

phulon mein wahi to phul Thahra

jo tere salam ko khila ho

lahja to badal chubhtī huī baat se pahle

tiir aisā to kuchh ho jise naḳhchīr bhī chāhe

lahja to badal chubhti hui baat se pahle

tir aisa to kuchh ho jise naKHchir bhi chahe

log kināre aan lage

aur kināra Duub gayā

log kinare aan lage

aur kinara Dub gaya

ujle maile pesh hue

jaise ham the pesh hue

ujle maile pesh hue

jaise hum the pesh hue

qadam qadam koī saaya muttasil to rahe

sarāb ye sar-e-silsila darāz to ho

qadam qadam koi saya sa muttasil to rahe

sarab ka ye sar-e-silsila daraaz to ho

kahāñ vo zabt ke da.ave kahāñ ye ham 'gauhar'

ki TūTte the na phir TuuT kar bikharte the

kahan wo zabt ke dawe kahan ye hum 'gauhar'

ki TuTte the na phir TuT kar bikharte the

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now