Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Ghulam Mohammad Vamiq

Sher of Ghulam Mohammad Vamiq

kitnī Dhal ga.ī umr tumhārī hairat hai

ab tak kaise rahī kuñvārī hairat hai

kitni Dhal gai umr tumhaari hairat hai

ab tak kaise rahi kunwari hairat hai

tere ruḳhsāroñ se duniyā raushan thī

kaise ho ga.ī zulmat taarī hairat hai

tere ruKHsaron se duniya raushan thi

kaise ho gai zulmat tari hairat hai

paidal hameñ jo dekh ke katrāte the kabhī

ab lift māñgte haiñ vahī kaar dekh kar

paidal hamein jo dekh ke katraate the kabhi

ab lift mangte hain wahi kar dekh kar

Recitation

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now