Sher of Gyanendra Vikram
piyāla zahr kā laa.e ho piine kyoñ nahīñ dete
mire marne pe ronā hai to jiine kyoñ nahīñ dete
piyala zahr ka lae ho pine kyon nahin dete
mere marne pe rona hai to jine kyon nahin dete
vasl ke do-chār lamhe roz gin gin dekhnā
rah gayā thā zindagī meñ kyā yahī din dekhnā
wasl ke do-chaar lamhe roz gin gin dekhna
rah gaya tha zindagi mein kya yahi din dekhna
ḳhvāb meñ chūmā thā tum ne aur tab se aaj tak
gher letī haiñ mujhe har gulsitāñ kī titliyāñ
KHwab mein chuma tha tum ne aur tab se aaj tak
gher leti hain mujhe har gulsitan ki titliyan
din-ba-din rog ye baḌhtā hī chalā jaatā hai
din-ba-din tū mirī buniyād huī jaatī hai
din-ba-din rog ye baDhta hi chala jata hai
din-ba-din tu meri buniyaad hui jati hai
tere kāñdhe pe mohabbat kā Tikā hai parcham
jaan be-shak na rahe haar na hone paa.e
tere kandhe pe mohabbat ka Tika hai parcham
jaan be-shak na rahe haar na hone pae
chaar dīvāreñ tamāsha dekhtī haiñ roz raat
nāchtī hai zindagī aur tāktā rahtā huuñ maiñ
chaar diwaren tamasha dekhti hain roz raat
nachti hai zindagi aur takta rahta hun main