Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Hameed Naseem's Photo'

Hameed Naseem

- 2000 | Pakistan

Sher of Hameed Naseem

dekhte dekhte terā chehra aur ik chehra ban jaatā hai

ik mānūs malūl chehra kab dekhā thā bhuul gayā huuñ

dekhte dekhte tera chehra aur ek chehra ban jata hai

ek manus malul sa chehra kab dekha tha bhul gaya hun

na yaad chubhan koī na koī lau malāl

maiñ jaane kitnī duur yūñhī ḳhud se be-ḳhabar gayā

na yaad ki chubhan koi na koi lau malal ki

main jaane kitni dur yunhi KHud se be-KHabar gaya

kyā ḳhabar merā safar hai aur kitnī duur

kāġhzī ik naav huuñ aur tez-rau paanī meñ huuñ

kya KHabar mera safar hai aur kitni dur ka

kaghzi ek naw hun aur tez-rau pani mein hun

āsūdgī-āmoz ho jab ābla-pā.ī

ho jaatī hai manzil lagan dil meñ tapāñ aur

aasudgi-amoz ho jab aabla-pai

ho jati hai manzil ki lagan dil mein tapan aur

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now