Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Hari Chand Akhtar's Photo'

Hari Chand Akhtar

1900 - 1958 | Lahore, Pakistan

Prominernt journalist and poet

Prominernt journalist and poet

Sher of Hari Chand Akhtar

1.9K
Favorite

SORT BY

sitam-koshī meñ dil-sozī bhī shāmil hotī jaatī hai

mohabbat aur mushkil aur mushkil hotī jaatī hai

sitam-koshi mein dil-sozi bhi shamil hoti jati hai

mohabbat aur mushkil aur mushkil hoti jati hai

mujh ko dekhā phuuT ke royā

ab samjhā samjhāne vaalā

mujh ko dekha phuT ke roya

ab samjha samjhane wala

daatā hai baḌā ravāq mirā bharpūr ḳhazāne haiñ us ke

ye sach hai magar ai dast-e-duā har roz taqāzā kaun kare

data hai baDa rawaq mera bharpur KHazane hain us ke

ye sach hai magar ai dast-e-dua har roz taqaza kaun kare

mire chaman ḳhizāñ mutma.in rahe ki yahāñ

ḳhudā ke fazl se andesha-e-bahār nahīñ

mere chaman ki KHizan mutmain rahe ki yahan

KHuda ke fazl se andesha-e-bahaar nahin

yahī hotā hai ki tadbīr ko nākām kare

aur farmā.iye taqdīr se kyā hotā hai

yahi hota hai ki tadbir ko nakaam kare

aur farmaiye taqdir se kya hota hai

haañ vo din yaad haiñ jab ham bhī kahā karte the

ishq kyā chiiz hai is ishq meñ kyā hotā hai

han wo din yaad hain jab hum bhi kaha karte the

ishq kya chiz hai is ishq mein kya hota hai

mire chaman ḳhizāñ mutma.in rahe ki yahāñ

ḳhudā ke fazl se andesha-e-bahār nahīñ

mere chaman ki KHizan mutmain rahe ki yahan

KHuda ke fazl se andesha-e-bahaar nahin

ab aap aa ga.e haiñ to aatā nahīñ hai yaad

varna hameñ kuchh aap se kahnā zarūr thā

ab aap aa gae hain to aata nahin hai yaad

warna hamein kuchh aap se kahna zarur tha

agar terī ḳhushī hai tere bandoñ masarrat meñ

to ai mere ḳhudā terī ḳhushī se kuchh nahīñ hotā

agar teri KHushi hai tere bandon ki masarrat mein

to ai mere KHuda teri KHushi se kuchh nahin hota

shab-e-ġham vahm suntā hai sadā.eñ

gumāñ hotā hai koī aa rahā hai

shab-e-gham wahm sunta hai sadaen

guman hota hai koi aa raha hai

jinheñ hāsil hai terā qurb ḳhush-qismat sahī lekin

terī hasrat liye mar jaane vaale aur hote haiñ

jinhen hasil hai tera qurb KHush-qismat sahi lekin

teri hasrat liye mar jaane wale aur hote hain

nematoñ ko dekhtā hai aur hañs detā hai dil

mahv-e-hairat huuñ ki āḳhir kyā hai mere dil ke paas

nematon ko dekhta hai aur hans deta hai dil

mahw-e-hairat hun ki aaKHir kya hai mere dil ke pas

jam.a haiñ saare musāfir nā-ḳhudā-e-dil ke paas

kashtī-e-hastī nazar aatī hai ab sāhil ke paas

jama hain sare musafir na-KHuda-e-dil ke pas

kashti-e-hasti nazar aati hai ab sahil ke pas

shaiḳh o panDit dharm aur islām bāteñ kareñ

kuchh ḳhudā ke qahr kuchh in.aam bāteñ kareñ

shaiKH o panDit dharm aur islam ki baaten karen

kuchh KHuda ke qahr kuchh inam ki baaten karen

jo Thokar nahīñ khāte vo sab kuchh haiñ magar vaa.iz

vo jin ko dast-e-rahmat ḳhud sambhāle aur hote haiñ

jo Thokar hi nahin khate wo sab kuchh hain magar waiz

wo jin ko dast-e-rahmat KHud sambhaale aur hote hain

hameñ bhī aa paḌā hai dostoñ se kaam kuchh ya.anī

hamāre dostoñ ke bevafā hone vaqt aayā

I need a favour from my friends so now

the time has come for them to disavow

hamein bhi aa paDa hai doston se kaam kuchh yani

hamare doston ke bewafa hone ka waqt aaya

I need a favour from my friends so now

the time has come for them to disavow

shabāb aayā kisī but par fidā hone vaqt aayā

mirī duniyā meñ bande ke ḳhudā hone vaqt aayā

shabab aaya kisi but par fida hone ka waqt aaya

meri duniya mein bande ke KHuda hone ka waqt aaya

unheñ dekhā to zāhid ne kahā īmān ye hai

ki ab insān ko sajda ravā hone vaqt aayā

unhen dekha to zahid ne kaha iman ki ye hai

ki ab insan ko sajda rawa hone ka waqt aaya

rahe do do farishte saath ab insāf kyā hogā

kisī ne kuchh likhā hogā kisī ne kuchh likhā hogā

rahe do do farishte sath ab insaf kya hoga

kisi ne kuchh likha hoga kisi ne kuchh likha hoga

bharosa kis qadar hai tujh ko 'aḳhtar' us rahmat par

agar vo shaiḳh-sāhib ḳhudā niklā to kyā hogā

bharosa kis qadar hai tujh ko 'aKHtar' us ki rahmat par

agar wo shaiKH-sahib ka KHuda nikla to kya hoga

milegī shaiḳh ko jannat, hameñ dozaḳh atā hogā

bas itnī baat hai jis baat par mahshar bapā hogā

the priest to paradise, and I to hell arraigned

will, on such a trifle, be judgement day ordained?

milegi shaiKH ko jannat, hamein dozaKH ata hoga

bas itni baat hai jis baat par mahshar bapa hoga

the priest to paradise, and I to hell arraigned

will, on such a trifle, be judgement day ordained?

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now