noImage

Khalid Yusuf

1940 | London, United Kingdom

Sher of Khalid Yusuf

use ḳhabar hai ki anjām-e-vasl kyā hogā

vo qurbatoñ tapish fāsle meñ rakhtī hai

use KHabar hai ki anjam-e-wasl kya hoga

wo qurbaton ki tapish fasle mein rakhti hai

ye adā.eñ ye ishāre ye hasīñ qaul-o-qarār

kitne ādāb ke parde meñ hai inkār baat

ye adaen ye ishaare ye hasin qaul-o-qarar

kitne aadab ke parde mein hai inkar ki baat

fan da.avā hai to kuchh jur.at-e-iz.hār bhī ho

zeb detā nahīñ fankār ko buzdil honā

fan ka dawa hai to kuchh jurat-e-izhaar bhi ho

zeb deta nahin fankar ko buzdil hona

ham ne maanā ki tire shahr meñ sab achchhā hai

koī iisā ho to mil jā.eñge bīmār bahut

hum ne mana ki tere shahr mein sab achchha hai

koi isa ho to mil jaenge bimar bahut

Recitation

aah ko chahiye ek umr asar hote tak SHAMSUR RAHMAN FARUQI

Jashn-e-Rekhta | 2-3-4 December 2022 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate, New Delhi

GET YOUR FREE PASS
Speak Now