Khurshid Rabbani's Photo'

Khurshid Rabbani

1973

Ghazal 17

Sher 18

vahshateñ ishq aur majbūrī

kyā kisī ḳhaas imtihān meñ huuñ

wahshaten ishq aur majburi

kya kisi KHas imtihan mein hun

vo taġhāful-shi.ār kyā jaane

ishq to husn zarūrat hai

wo taghaful-shiar kya jaane

ishq to husn ki zarurat hai

kisī ḳhayāl kisī ḳhvāb ke liye 'ḳhurshīd'

diyā darīche meñ rakkhā thā dil jalāyā thā

kisi KHayal kisi KHwab ke liye 'KHurshid'

diya dariche mein rakkha tha dil jalaya tha