Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mahmood Ahmad Hashmi's Photo'

Mahmood Ahmad Hashmi

- 1914 | Pakistan

Mahmood Ahmad Hashmi

Sher-o-Shayari 46

beTiyāñ sab ke muqaddar meñ kahāñ hotī haiñ

ghar ḳhudā ko jo pasand aa.e vahāñ hotī haiñ

beTiyan sab ke muqaddar mein kahan hoti hain

ghar KHuda ko jo pasand aae wahan hoti hain

  • Share this

ik tirā hijr jo bāloñ meñ safedī laayā

ik tirā shauq jo siine meñ javāñ rahtā hai

ek tera hijr jo baalon mein safedi laya

ek tera shauq jo sine mein jawan rahta hai

  • Share this

maiñ nahīñ māntā kāġhaz pe likhā shajra-e-nasab

baat karne se qabīle pata chaltā hai

main nahin manta kaghaz pe likha shajra-e-nasab

baat karne se qabile ka pata chalta hai

  • Share this

us bastī se pahle qabristān

āshiqoñ ke liye ishāra thā

us ki basti se pahle qabristan

aashiqon ke liye ishaara tha

  • Share this

bārah ghanToñ hai ik raat jo Taltī nahīñ

hijr bhī ain december meñ milā hai mujh ko

barah ghanTon ki hai ek raat jo Talti hi nahin

hijr bhi ain december mein mila hai mujh ko

  • Share this

Recitation

Speak Now