Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Makhfi Lakhnavi's Photo'

Makhfi Lakhnavi

1902 - 1953 | Karachi, Pakistan

Sher of Makhfi Lakhnavi

123
Favorite

SORT BY

mirā aanā jahāñ meñ munhasir thā tiin bātoñ par

jafā sahnā vafā karnā aur us ke baad mar jaanā

mera aana jahan mein munhasir tha tin baaton par

jafa sahna wafa karna aur us ke baad mar jaana

ishq fitrat ne yuuñ badlā mazāq-e-zindagī

jitne ġham baḌhne lage utnī ḳhushī hone lagī

ishq ki fitrat ne yun badla mazaq-e-zindagi

jitne gham baDhne lage utni KHushi hone lagi

ishq allāh re fitna-kāriyāñ

pāk-dāman chāk-dāman ho ga.e

ishq ki allah re fitna-kariyan

pak-daman chaak-daman ho gae

jalā āshiyāñ jab se dil mutma.in hai

na bijlī ḳhatra na dhaḌkā ḳhizāñ

jala aashiyan jab se dil mutmain hai

na bijli ka KHatra na dhaDka KHizan ka

parda hai ik baqā rāz-e-fanā na pūchho

mar kar bhī saath ham se chhūTā na zindagī

parda hai ek baqa ka raaz-e-fana na puchho

mar kar bhi sath hum se chhuTa na zindagi ka

vo chhupnā tirā parda-e-rang-o-bū meñ

vo har rang meñ merā pahchān jaanā

wo chhupna tera parda-e-rang-o-bu mein

wo har rang mein mera pahchan jaana

bahut justujū bahut ḳhaak chhānī

kidhar hai ai jalva-e-lā-makānī

bahut justuju ki bahut KHak chhani

kidhar hai tu ai jalwa-e-la-makani

yuuñ manzar-e-hastī pe tirī chhā ga.iiñ āñkheñ

ik kaif har chiiz pe barsā ga.iiñ āñkheñ

yun manzar-e-hasti pe teri chha gain aankhen

ek kaif sa har chiz pe barsa gain aankhen

yuuñ be-hijāb haiñ ki haiñ jaise hijāb meñ

us bazm meñ kisī ko majāl-e-nazar kahāñ

yun be-hijab hain ki hain jaise hijab mein

us bazm mein kisi ko majal-e-nazar kahan

vus.at-e-dil are ma.aaz allāh

saarī duniyā samā.ī jaatī hai

wusat-e-dil are maaz allah

sari duniya samai jati hai

ḳhudā ke bharose pe chhoḌī hai kashtī

na girdāb dekhā na tūfān jaanā

KHuda ke bharose pe chhoDi hai kashti

na girdab dekha na tufan jaana

bikhrī har-sū paḌī haiñ zanjīreñ

josh-e-rangīnī-e-bahār na pūchh

bikhri har-su paDi hain zanjiren

josh-e-rangini-e-bahaar na puchh

har baat ehsās mire dil se miTā de

zinda mujhe rakhnā hai to dīvāna banā de

har baat ka ehsas mere dil se miTa de

zinda mujhe rakhna hai to diwana bana de

jis ko ibrat dilā.ī jaatī hai

merī sūrat dikhā.ī jaatī hai

jis ko ibrat dilai jati hai

meri surat dikhai jati hai

vafā ibtidā hai vafā intihā hai

ḳhulāsa hai bas ye mirī dāstāñ

wafa ibtida hai wafa intiha hai

KHulasa hai bas ye meri dastan ka

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now