Sher of Megha Raina
ham apne nuqsān ke pīchhe dekheñ to
kuchh logoñ ke saaf munāfe dikhte haiñ
hum apne nuqsan ke pichhe dekhen to
kuchh logon ke saf munafe dikhte hain
ai kaash un se 'meghā' koī bachā.e mujh ko
jo din guzar chuke vo har shaam chubh rahe haiñ
ai kash un se 'megha' koi bachae mujh ko
jo din guzar chuke wo har sham chubh rahe hain
tumheñ batā.ūñ vo sāda-mizāj kitnā hai
maiñ rūThtī bhī nahīñ vo manātā rahtā hai
tumhein bataun wo sada-mizaj kitna hai
main ruThti bhi nahin wo manata rahta hai
paisa chāhe kam hī kamāne vaalā ho
māthā chuum ke ghar meñ aane vaalā ho
paisa chahe kam hi kamane wala ho
matha chum ke ghar mein aane wala ho