Sher of Mohammad Taha Khan
vahī hai iḳhtilāf-e-bāhamī kī anjuman ab to
faqat shādī ke din us ne milā.ī haañ meñ haañ merī
wahi hai iKHtilaf-e-bahami ki anjuman ab to
faqat shadi ke din us ne milai han mein han meri
daur-e-jamhūrī meñ bañgladesh jaanā thā tujhe
aksariyyat chhoḌ kar zālim idhar paidā huā
daur-e-jamhuri mein bangladesh jaana tha tujhe
aksariyyat chhoD kar zalim idhar paida hua
is daf.a bachcha samajh kar chhoḌe detā huuñ tujhe
maar Dālūñgā agar bār-e-digar paidā huā
is dafa bachcha samajh kar chhoDe deta hun tujhe
mar Dalunga agar bar-e-digar paida hua
jān-e-izrā.īl ab naḳhroñ kā tere ġham karūñ
yā maiñ tujh par sūra-e-yāsīn paḌh kar dam karūñ
jaan-e-izrail ab naKHron ka tere gham karun
ya main tujh par sura-e-yasin paDh kar dam karun
haa.e qismat january māñgī to july milī
haal kā tālib huā maazī tamannā.ī milī
hae qismat january mangi to july mili
haal ka talib hua mazi tamannai mili
sabab is kā jo pūchhā doctor-sāhab ne farmāyā
bahut aage ga.e baaqī jo haiñ tayyār baiThe haiñ
sabab is ka jo puchha doctor-sahab ne farmaya
bahut aage gae baqi jo hain tayyar baiThe hain
laḌī is ThaaT se mankūha-e-kāfir-bayāñ merī
farishte likhte likhte chhoḌ bhāge dāstāñ merī
laDi is ThaT se mankuha-e-kafir-bayan meri
farishte likhte likhte chhoD bhage dastan meri
sahar se shaam tak chaltī rahī hai chaa.e par chaa.e
na ye be-kār baiThe haiñ na vo be-kār baiThe haiñ
sahar se sham tak chalti rahi hai chae par chae
na ye be-kar baiThe hain na wo be-kar baiThe hain