Dohe of Mujeeb Ahmad Mujeeb
jis ko paalā jaag kar maiñ ne din aur raat
us kī bātoñ ne kiyā mere dil par ghaat
jis ko pala jag kar main ne din aur raat
us ki baaton ne kiya mere dil par ghat
dushman ko jo maat de bin hathyār uThā.e
gāñdhī jaisā kaun hai ham meñ yahāñ batā.e
dushman ko jo mat de bin hathyar uThae
gandhi jaisa kaun hai hum mein yahan batae
kis kī kitnī zindagī kis kā kitnā saath
allah sab hai jāntā ik ik din aur raat
kis ki kitni zindagi kis ka kitna sath
allah sab hai jaanta ek ek din aur raat
rāvan man meñ paal kar jo le parbhū kā naam
us ko Dhāne ā.eñge vānar ke sañg raam
rawan man mein pal kar jo le parbhu ka nam
us ko Dhane aaenge wanar ke sang ram